One of my favourite naat shareefs...love it even more because the brother added parts of another beautiful naat shareef!
Sahara Chahhiye Sarkar Zindagi Ke Liye
Tadap Rha Hoon Madinay Ki Haazri Ke Liye
Huzoor Aisa Koi Intizaam Ho Jaye
Salaam Ke Liye Haazir Ghulam Ho Jaye
Naseeb Walon Mein Mera Bhi Naam Ho Jaye
Jo Zindagi Ki Madinay Mein Shaam Ho Jaye
Sahara Chahhiye Sarkar Zindagi Ke Liye
Tadap Rha Hoon Madinay Ki Haazri Ke Liye
Mai Shaad Shaad Maroonga Agar Dum-e-Aakhir
Zubaan Pe Jaari Muhammad ( Sallaho Alaih-e-Wassalam)ka naam Ho Jaye
Sahara Chahiye Sarkar Zindagi Ke Liye
Tadap Raha Hoon Madinay Ki Haazri Ke Liye
Tumhari Naat Padoon Mein Sunoo Likhoon Har Dum
Ye Zindagi Meri Yunhi Tamaam Ho Jaye
Sahara Chahiye Sarkar Zindagi Ke Liye
Tadap Raha Hoon Madinay Ki Haazri Ke Liye
Piya Raza O Ziya Ne Piya jou Murshid Ne
A'ta Mujhe Bhi Shah Aisa Jaam Ho Jaye
Sahara Chahiye Sarkar Zindagi Ke Liye
Tadap Raha Hoon Madinay Ki Haazri Ke Liye
Ya RasoolAllah! salAllahu alayhi wa salam. Dhoonde hi karein sadr-e-qayaamat ke sipaahi, Woh kis ko mile jo tere daaman mein chupa ho (InshaAllah ta'ala)
YehSarwari Hai Bhala Kya Sikandari Kya Hai
Dare Nabi Ka Gada Hun Mujhe Kami Kya Hai
Fida Na ho Jo Nabi Par Woh Ummati Kya Hai
Jo Geet Gaaye Na Unke Woh Admi Kya Hai
Dare Rasool Pe Le Chal Junoone Ishq Mujhe
Baghair Aqa Ke Guzrey Woh Zindagi Kya Hai
Tarap Raha Hai Jo Roze Ki Haazri Ke Liye
Usi Gharib Se Pucho Ke Be Basi Kya Hai
Nabi Ki Shaan-e-karimi Na Maan Ne Walon
Mujhe Bas Itna Bata Do Ke Kaafri Kya Hai
Bara Karam Hai Niyazi Madiney Wale Ka
Karam Na Ho Jo Nabi Ka Woh Zindagi Kya Hai
Need your du'as brothers and sisters! Please pray we are called to Madina Paak soon! And when we reach the blessed city...ah kabhi Roze se mimbar tak kabhi mimbar se Roze tak idhar jaaon udhar jaaon idhar jaaon udhar jaaon issi haalat mein mar jaaon! InshaAllah ta'ala!


Help
RSS Feed












