Lyrics to all naats - find what you are looking for (Updated Once Every Week) (Video Alongwith Lyrics of Little Farhan Ali
Posted 19 February 2007 - 09:26 AM (#41)
can u also add lyrics 4 "Tu kareem hi jou thera" and "Noor ki barsaat ka alam" (Furqan qadri)
Posted 19 February 2007 - 10:39 PM (#42)
Posted 19 February 2007 - 11:10 PM (#43)
Tera Khaawa(N) main Tere Geet Gaawa(N), Ya Rasoolallah
Contributed by :King Khan
Tera Khaawa(N) main Tere Geet Gaawa(N), Ya Rasoolallah
Tera Milaad May(N) Kyo(N) Na Manaawa, Ya Rasoolallah
Halima Kar qadi Vey Khe Kadi Sarkaar Nu Vey Khe
May(N) Keri Sayj Tere Lai Sajawaa(N), Ya Rasoolallah
Ya Rasoolallah, May(N) Kuch Vi Naee Jo Tere Naal Meri Koi Nisbat Naee
Par May(N) Sab Kuch Haa(N) Je May(N) Tera Sadaawa(N), Ya Rasoolallah
Ya Rasoolallah, Jagaao Bhaag Merey Vi Abu Ayyub De Vaa(N)Goo(N)
Par Muqaddar Os Da Kiththo(N) Ley Aa(N)Vaa(N), Ya Rasoolallah
Ya Rasoolallah, Mera Vi Dil Te Chah(N)Da Aey Tusi Merey Vi Ghar Aao
Maana Ke Beamal Hu(N), Nihaayat Bura Hu(N) May(N)
Lekin Huzoor Aap Ke Dar Ka Gada Hu(N) May(N)
Aaqa, Mera Vi Dil Te Chah(N)Da Aey, Tusi Merey Vi Ghar Aao
Par May(N) Kerey Maan Te Ghar Vich Bulaa(N)Waa(N), Ya Rasoolallah
Madiney Aake Ho Raat Din Meri Ibaadataei(N)
Tere Roze To(N) Na Ankhiyaa(N) Hatta(N)Waa(N), Ya Rasoolallah
Zamaane Bhar Ka Yeh Qaidaah Hai Ke Jis Ka Khaana Usi Ka Gaana
Tumhaara Sad'qah Hi Kha Rahe Hai(N), Tumhaare Hi Geet Gaa Rahe Hai(N)
May(N) Har Dum Teriyaa(N) Na'ataa(N) Sunaawa, Ya Rasoolallah
Khuda Vi Teri Yaad Karta Sanaawa, Ya Rasoolallah
Ajal De Au(N) To(N) Pehle Je Teri Deed Ho Jaave
May(N) Aesi Maut To(N) Qurbaan Jaawaa(N), Ya Rasoolallah
Jina Ne Tere Yaa(N) Qadmaa(N) Nu Sine Naal Laayaaey
Nasiba Waliya(N) Ho(N)Eeya Oththaawaa(N), Ya Rasoolallah
Keve(N) Sud Aashna Tehrir Ho Jaaey Zahoori Di
Posted 20 February 2007 - 10:45 PM (#44)
Posted 21 February 2007 - 12:25 AM (#45)
Fat'he baabe nubuwwat pe bayhad durood
Contributed By King Khan
Fat'he baabe nubuwwat pe bayhad durood
Khatme dauray risaalat pe lakhon salaam
Jis ke aage saraysarwara kham rahe
Us saretaaj rif'at pe lakhon salaam
Jis ke maathe shafa'at ka sehra raha
Us Jabheene sa'adat pe lakhon salaam
Jis taraf uth gaee dham may dham aagaya
Us nigaahe inayat pe lakhon salaam
Wo dahan jis ki har baat wahiye Khuda
Chashmae ilmo hikmat pe lakhon salaam
Wo zabaan jis ko sab kun ki kunjee kahen
Us ki naafaz hukumat pe lakhon salaam
Hajjre Aswad-e Ka'ba-e Jano Dhil
Ya'nee Mohre Nubuwwat pe lakhon salaam
Kul jahan milk aur jaun ki roti gizaa
Us shikan ki qana'at pe lakhon salaam
Jis suhanee garee chamka Tayba ka chaandh
Us dhil afroze sa'at pe lakhon salaam
Unke Maula ke un par karoron durood
Unke as'haab-o-'itrat pe lakhon salaam
Kaamilaane Tariqat pe kaamil durood
Haamilaane Shariat pe lakhon salaam
Ek mera hee Rahmat pe da'wa naheen
Shah ki saari ummat pe lakhon salaam
Tera Rishta Bana Shiraaz Se Jameeyate Khaatir
Contributed By King Khan
Tera Rishta Bana Shiraaz Se Jameeyate Khaatir
Para Tha Daftare Deene Kitaabullah Barham Sa
Tere Judo Karam Ka Koi Andaaza Kare Kyo(N) Kar
Tera Ek, Ek Gada Faizo Sakhaawat Mei(N) Hai Haatim Sa
Tumhaare Dar Se Jholi Bhar Muraadei(N) Le Kar Uththei(N)
Na Koi Baadshaah Tumsa, Na Koi Benawa Hamsa
Fida Aey Umme Kulsum, Aap Ki Taqdire Yaawar Ke
Ali Baaba Hua Dulha, Dulha Hua Farooqe Akram Sa
Ghazab Mei(N) Dushmano(N) Ki Jaan Hai, Teghe Shere Afgan Se
Khurujo Rafaz Ke Ghar Mei(N), Na Kyo(N) Barpa Ho Maatam Sa
Shayaati(N) Muzmahil Hai(N), Tere Naame Paak Ke Dar Se
Nikal Jaaey Na Kyo(N), Raffaz Bad Atwaar Ka Dam Sa
Manaae Eid Jo Zilhajj Mei(N), Teri Shahaadat Ki
Ilaahi, Rozo Maaho San, Unhe Guzre Muharram Sa
Hasan Dar Aa'lame Pasti Saare Rif'at Agar Daari
Bayaa(N) Farqe Iraadat Bar Dare Farooqe A'zam Sa
NA HO AARAAM JIS BIMAAR KO SAARE ZAMAANE SE
Contributed by King Khan
NA HO AARAAM JIS BIMAAR KO SAARE ZAMAANE SE
UTHAA LEJAAYE THORI KHAAK UNKE AASTAANE SE
TUMHAARE DAR KE TUKRO SE PARAA PALTA HE EK AALAM
GUZAARA SUB KA HOTAA HE USSI MUHTAAJ KHAANE SE
SHAB-E-ASRA KE DOOLHA PAR NICHAAWAR HONE WAALI HE
NAHEE TO KYA GARAZ THEE ITNI JAANO KI BANAANE SE
NA KYU UNKI TARAF ALLAH SOU SOU PYAAR SE DEKHE
JO APNI AANKHE MALTE HE TUMHAARE AASTAANE SE
NA POHONCHE UNKE QADMO TUK NA KUCH HUSNE AMAL HI HE
HASSAN KYA POOCHTE HO HUM GAYE GUZRE ZAMAANE SE
SAB
Contributed by King Khan
Sab se aola wa aala hamara Nabi
Sab se baala wa waala hamara Nabi
Apne Moula ka pyara hamara Nabi
Dono aalam ka Dulha ha hamara Nabi
Bazme Aakhir ka Shama faroza huwa
Noore awwal ka jalwa hamara Nabi
Buj gayi jis ke aage sabhi mash'ale
Shamma woh lekeh aaya hamara Nabi
Jis ke talwon ka dhowan he aabe Hayaat
Hai woh jaane Maseeha hamara Nabi
Khalq se Awliya Awliya se Rusul
Aur Rasoolon se aala hamara Nabi
Jaise sab ka Khuda ek he waise hi
In ka un ka thumhara hamara Nabi
Kawn deta he dene ko muh chahiye
Dene waala he sacha hamara Nabi
Kya khabar kitne taare khile chhup gaye
Par na doobe na dooba hamara Nabi
Saare ooncho meh ooncha samajhye jise
Hai oos oonche se ooncha hamara Nabi
Ghum zadoh ko Raza muzda dije ke he
Be kason ka sahara hamara Nabi
Woh Rasool Mera Rasool Hai
Contributed By King Khan
Jo Gale Lagaaey, Adu Ko Bhi, Woh Rasool Mera Rasool Hai
Koi Khaali Haath Gaya Nahi(N), Yeh Mere Saaqi Ka Asool Hai
Tu Jo Chaahe Raazi Ho Mustafa, Tu Jo Chaahe Tujh Ko Mile Khuda
Kisi Tute Dil Ko Talaash Kar, Ke Woh Dil Khuda Ko Qabool Hai
Isey Jhuk Ke Chooma Hai Arsh Ne, Hai Lagi Nabi Ke Yeh Paao(N) Se
Isey Daal Aankho(N) Mei(N) Shauq Se, Yeh Dare Rasool Ki Dhool Hai
Woh Nabi Jo Mera Bhala Kare, Meri Bakhshiso(N) Ki Dua Kare
Mujhe Bhool Jaaey Woh Hashr Mei(N), Mere Dushmano(N) Ki Yeh Bhool Hai
Yeh Niyazi Jaaei(N) Kahaa(N), Shaha Ke Naam Leva Yeh Aap Ka
Yehi Kehna Jaake, Tu Aey Saba, Ke Woh Ghamzadaah Hai, Malool Ha
Posted 21 February 2007 - 12:28 AM (#46)
assalam-u-alaykumcan u also add lyrics 4 "Tu kareem hi jou thera" and "Noor ki barsaat ka alam" (Furqan qadri)
Tu Kareen hi Jo Thehra Tu Karam Ke Kiya Thikane
Contributed By King Khan
Tu Kareen hi Jo Thehra Tu Karam Ke Kiya Thikane
Tu Nawazne Pe Aaye To Nawaz De Zamane
Chirun Main Bulbulon Main Har Dam Tere Tarane
Har Aik ki Zuban Par Maula Tere Fasaane
Tu Kareem Hi Jo Thehra Tu Karam Ke Kiya Thikane
Tu Nawazne Pe Aaye To Nawaz De Zamane
Meri Jabeen ke Ander Sajde Machal Rahe Hain
Aoon Tere Haram Main Sar-e-Bandgi Jhukane
Tu Kareem Hi Jo Thehra Tu Karam Ke Kiya Thikane
Tu Nawazne Pe Aaye To Nawaz De Zamane
Tu Akhoo Hai Abar Farma Hai Raheem Reham Farma
Dhoonde Hai Teri Rehmat Bakhshish ke 100 Bahane
Tu Kareem Hi Jo Thehra Tu Karam Ke Kiya Thikane
Tu Nawazne Pe Aaye To Nawaz De Zamane
Asrar Tu Sikha de Yeh Jaan Le Ujagar
Hikmat de Teri kiya Kiya Posheeda Hain Khazane
Tu Kareem Hi Jo Thehra Tu Karam Ke Kiya Thikane
Tu Nawazne Pe Aaye To Nawaz De Zamane
Noor ki Barsat Ka Alam Nirala Ho Gya
Contributed By King Khan
Noor ki Barsat Ka Alam Nirala Ho Gya
Aap Aye tu Zamane Main Ujala Ho Gaya
Yeh Aj Kiya Hai Zamane Ne Rang Bandla Hai
Yeh Aj kiya hai Ke Alam ka Dhang Badla Hai
Farishte Aj Jo Dhoomein Machane Aaye Hai
Unhi Ke Aane ki shaadi Rachane Aaye Hai
Yeh Aj Kahe ki Shaadi Hai Arsha kiun Jhooma
Inhen Khuda ne Kiya Apne Mulk Ka Malik
Inhi Ke Kabze Main (Sorry)Aaye Hai
Jo Chahen Gay Jisse Chahen Gay Ye Usse Dein Gay
Kareem Hain Yeh Khazane Lutaane Aaye Hain
Sarkar Ki Amad Marhaba Dildar ki Amad Marhaba
Noor ki Barsat Ka Alam Nirala Ho Gya
Aap Aye tu Zamane Main Ujala Ho Gaya
Jashn-e-Milad un Nabi Hai Dil Bada Masroor Hai
Eid Deewano ki Tu Bara'n Rabu un Noor Hai
Iss Taraf Jo Noor Hai Tu uss Taraf Bhi Noor Hai
Zarra Zarra Do Jahan ka Noor Se Ma'moor Hai
Jiss tarfa ko Uth gayi Alam Munawar Ho Gaye
Main Teri Ankhon Ke Sadqe In Main Kitna Noor Hai
Jashn-e-Baharan Aa Gayi Shetan Rawana Ho Gaya
Aap Aye tu Zamane Main Ujala Ho Gaya
Sarkar Ki Amad Marhaba Dildar ki Amad Marhaba
Sab Jhoom Ke Bhoolo Marhaba Lab Choom Ke Bolo
Lehra Kar Bolo Hath Utha Kar Bolo Sharmana Choro
Noor ki Barsat Ka Alam Nirala Ho Gya
Aap Aye tu Zamane Main Ujala Ho Gaya
Subha Taiba Main Hoi Bat'ta Hai Bara Noor Ka
Sadqa Lene Noor Ka Aaya Hai Tara Noor Ka
Jiss Ko Dekho Hai liye Jaata Hai Tora Noor Ka
Noor ki Sarkar Hai Kya Iss Main Toda Noor Ka
Tere Hi Maathe Raha Aey jaan Sehra Noor Ka
Bakht Jaga Noor Ka Chamka Sitara Noor Ka
Teri Nasl-e-Pak Main Hai Bacha Bacha Noor Ka
Tu hai Ain-e-Noor Tera Sab Gharan Noor Ka
Main Gada Tu Badsha Bhar De Piyala Noor Ka
Noor Din Do Na Tera De Daal Sadka Noor Ka
Jashn-e-Baharan Aa Gaya Shetan Rawana Ho Gaya
Aap Aye tu Zamane Main Ujala Ho Gaya
Taj Wale Dekh Kar Tera Imama Noor Ka
Sir Jhukate Hain Ilahi Bhool Bhala Noor Ka
Noor Ki Barsat Ka Alam Nirala Ho
Aap Aye tu Zamane Main Ujala Ho Gaya
Jo Gir Rahe They Unhen Inhon Ne Thaam Liya
Jo Gir Chuke Hain yeh Unko Uthane Aaye Hai
Yeh Seedha Rasta Haq Ka Batane Aaye Hai
Yeh haq Ke Bandon Ko Haq Se Milane Aaye Hain
Rauf Aise Hain aur Yeh Raheem Hain Itne
Ke Girte Parton Ko Seene Lagane Aaye Hain
Noor Ki Barsat Ka Alam Nirala Ho
Aap Aye tu Zamane Main Ujala Ho Gaya
Sarkar Ki Amad Marhaba Dildar ki Amad Marhaba
Sab Jhoom Ke Bhoolo Marhaba Zara Mil Kar Bolo Marhaba
Parcham Lehra Kar Bolo Sab Jhoom Ke Bolo Marhaba
Mere Aqa aaye Jhoomo Mere Daata Aaye Jhoomo
Jahsn-e-Milad un Nabi Hai Kiun na Jhoomein Aj Hum
Muskurati Hain Baharain Sab Taraf Tu Noor Hai
Kiunki Mere Aqa Aaye Jhoomo Mere Data Aaye Jhoomo
Mere Aqa Aaye Jhoomo Mere Data Aaye Jhoomo
Noor Ki Barsat Ka Alam Nirala Ho
Aap Aye tu Zamane Main Ujala Ho Gaya
Posted 21 February 2007 - 01:32 AM (#47)
Thanks a lot for sharing beautiful lyrics..JazakAllah!!
can u please post lyrics of "Ya Taiba Ya Taiba"
(Taiba=Madina)These lyrics are recited by Imran Sheikh Qadri. I hope u have listened this kalaam..
Allah Hafiz..
Na Koi Saadi Zaat Pachane ..Na Koi Sanu Mannay
Posted 23 February 2007 - 10:44 PM (#48)
Baravein ka chand aya -Baravein ka chand aya
Contributed By King Khan
Bacha bacha muskariyah baravein ka chand aya
Khusiyah ka toofan laya baravein ka chand aya
Shaadmanee ke taranay goonjtay hai dahar mai
Wajad mai har shahz aya baravein ka chand aya
Roshni hee roshni hai chandnee hee chandnee
zarra zarra jamagaya baravein ka chand aya
Ho gia hai band saray zulmato ke baab aaj
Dahar mai woh noor aya baravein ka chand aya
Kil uttee kalya muhabbat kee gallo par hai nikhaar
Baghay ulfat lelahaya baravein ka chand aya
Sazay jan par bajj rahay hai ek naghma baar baar
Amina ka laal aya baravein ka chand aya
Shukar kartay hee raho rab ka ujagar subah o shaam
Rab ka kaisa fazal paya baravein ka chand aya
Habib-e-Khuda ka Nazaara Karoon Main
Contributed By King Khan
Habib-e-Khuda ka nazaara karoon main
Dil-o-jaan un par nisaara karoon main
Teri kakshe pa yu savaara karoon main
Ke palko se usko buhaara karoon main
Mera din-o-iman farishte jo puche
Tumhari hi janib ishaara karoon main
Yeh ek jaan kiya hai agar ho karoron
Tere naam par sab ko wara karoon main
Tere naam par sar ko qurbaan karke
Tere sar se sadqe utaara karoon main
Main kiyu ghair ki thokre khane jao
Tere dar se apna guzaara karoon main
Dam-e-wapsi tak tere geet gau
Mohammed(S.A.W.W) Mohammed(S.A.W.W)
Mohammed(S.A.W.W) Mohammed(S.A.W.W)
Mohammed(S.A.W.W) Pukara karoon main
Tera zikr lab par Khuda dil ke andar
Yuhi zindagani guzaara karoon main
Khuda khair se laye wo din bhi Noori
Madine ki galiya bulaara karoon main
May So Jaoo Ya MUSTAFA (S.A.W.W) Kehtey Kehtey
Contributed By King Khan
May so jaoo Ya MUSTAFA (S.A.W.W) kehtey kehtey
Khulley aankh Salle Aala kehtey kehtey
Sitam pay Sitam seh gaey dushmano kay
Habeeb-e-KHUDA, Ya KHUDA kehtey kehtey
May so jaoo Ya MUSTAFA(S.A.W.W) kehtey kehtey
Khulley aankh Salle Aala kehtey kehtey
Guzarte thay kaantey bharrey raasto say
RASOOL-e-KHUDA, Marhaba kehtey kehtey
May so jaoo Ya MUSTAFA (S.A.W.W) kehtey kehtey
Khulley aankh Salle Aala kehtey kehtey
Huwey surkhuru Aap her maarkey may
Fakat Rabbana , Rabbana kehtey kehtey
May so jaoo Ya MUSTAFA (S.A.W.W) kehtey kehtey
Khulley aankh Salle Aala kehtey kehtey
Shahe her do Aalam ne naam-e-jabee say
Bhara paet shukrey KHUDA kehtey kehtey
May so jaoo Ya MUSTAFA (S.A.W.W) kehtey kehtey
Khulley aankh Salle Aala kehtey kehtey
Andheiroo may ham ne kiya hay ujaala
Aqeedat sey Noor-ul-Huda kehtey kehtey
May so jaoo Ya MUSTAFA (S.A.W.W) kehtey kehtey
Khulley aankh Salle Aala kehtey kehtey
Dilley muztarib ko qaraar aagya hay
Shabo roz Ya MUJTABA (S.A.W.W) kehte kehte
May so jaoo Ya MUSTAFA (S.A.W.W) kehtey kehtey
Khulley aankh Salle Aala kehtey kehtey
Museebat kay maaro kathan manzillo say
Guzer jaoo Ya Mustafa kehtey kehtey
May so jaoo Ya MUSTAFA (S.A.W.W) kehtey kehtey
Khulley aankh Salle Aala kehtey kehtey
Aagae Mustafa (S.A.W.W) ki sawaari
Contributed By King Khan
Khaliq ney apney Nuur ka, Jalwa dikha diyaa
Sab Nuur ko Mila kay Muhammed (S.A.W.W) bana diya
Aagae Mustafa (S.A.W.W) ki sawaari
Apne ghar ko diyo sey saga loo
Dey rahey hain farishtey (A.S) salaami
Tum duruudo ki maala banaa loo
Aagae Mustafa (S.A.W.W) ki sawaari
Apne ghar ko diyo sey saga loo
Apney mangto ko wo paaltey hain
Wo bhala kis ko kab taaltey hain
Sadqa Hasnain (R.A) o Ghausul Waraa (R.A) ka
Ya Nabi (S.A.W.W) meri jholi may daalo
Aagae Mustafa (S.A.W.W) ki sawaari
Apne ghar ko diyo sey saga loo
Ker kay Naato sey her so charaaga
Youu manaaey gay jashney bahaara
Aashiqo Aamad-e-Mustafa (S.A.W.W) hay
Deep Khushiyoo kay her suu jala lo
Aagae Mustafa (S.A.W.W) ki sawaari
Apne ghar ko diyo sey saga loo
Waqt chamkey ga aik din hamaarey
Dekh lain gay wo dilkash nazaarey
Aap (S.A.W.W) ko jo bhi sab sey hain pyaarey
Un (R.A) kay sadqey may ham ko bula lo
Aagae Mustafa (S.A.W.W) ki sawaari
Apne ghar ko diyo sey saga loo
Jin kay haatho may hay Un (S.A.W.W) ka daaman
Naam-e-Ahmad (S.A.W.W) hay jis dil ki dharkan
Jo hay pehchaan hum aashiqo kee
Jhuum ker Un (S.A.W.W) ka naara laga lo
Aagae Mustafa (S.A.W.W) ki sawaari
Apne ghar ko diyo sey saga loo
Puuray ho jaeingay un kay armaan
Ker rahey hain Wo bakhshish ka samaan
Jashne Milaad (S.A.W.W) ki barkato sey
Apney Qalbo Nazer Jag maga lo
Aagae Mustafa (S.A.W.W) ki sawaari
Apne ghar ko diyo sey saga loo
Midhat-e-Mustafa (S.A.W.W) hee kay sadqey
Hay Moin apney sab kaam bantey
Her ghari zikr ho Mustafa (S.A.W.W) ka
Iss ko apna wazeefa bana lo
Aagae Mustafa (S.A.W.W) ki sawaari
Apne ghar ko diyo sey saga loo
Aagae Mustafa (S.A.W.W) ki sawaari
Apne ghar ko diyo sey saga loo
Dey rahey hain farishtey salaami
Tum duruudo ki maala banaa loo
Aagae Mustafa (S.A.W.W) ki sawaari
Apne ghar ko diyo sey saga loo
Posted 25 February 2007 - 01:43 AM (#49)
allah hu allah hu banday her dhum allah hu
Posted 25 February 2007 - 07:45 PM (#50)
Posted 26 February 2007 - 01:06 AM (#52)
Posted 26 February 2007 - 09:46 AM (#53)
Assalam o alekum!Thanks a lot for sharing beautiful lyrics..JazakAllah!!can u please post lyrics of "Ya Taiba Ya Taiba"(Taiba=Madina)These lyrics are recited by Imran Sheikh Qadri. I hope u have listened this kalaam..Allah Hafiz..
Ya Taiba Ya Taiba Ya Dawal Ayyana
Contributed By King Khan
يا طيبه يا طيبه يا دوا العيانا اشتقنا لك والهوى نادانا والهوى نادانا
لما سار المركب نساني سار والدمع ما جفاني أخذوا قلبي مع جناني يا طيبه يا تيم
الولهانا يا تيم الولهانا
يا طيبه يا طيبه يا دوا العيانا اشتقنالك والهوى نادانا والهوى نادانا
قبلتي بيت الله صابر علني يوما لك زائر يا ترى هل تراني ناظر للكعبه وتغمرني
بأمانا وتغمرني بأمانا
يا طيبه يا طيبه يا دوا العيانا اشتقنا لك والهوى نادانا والهوى نادانا
نبينا أغلى أمنياتي أزورك لو مره بحياتي وبجوارك صلي صلاتي واذكر ربي واتلو
القرانا واتلو القرانا
يا طيبه يا طيبه يا دوا العيانا اشتقنا لك والهوى نادانا والهوى نادانا
بشراك المدينه بشراك بقدوم الهادي يا بشراك فهل لي مأوى في حماك أتمنى فالنور
سبانا نوركم سبانا
يا طيبه يا طيبه يا دوا العيانا اشتقنا لك والهوى نادانا والهوى نادانا
يا طيبه يا طيبه يا دوا العيانا اشتقنا لك والهوى نادانا والهوى نادان
Posted 26 February 2007 - 10:24 AM (#54)
Meray Aqa meray lajpaal Madinay waley
Contributed By King Khan
Meray Aqa meray lajpaal Madinay waley
Meray halaath badal daal madinay waley
Apni aankhon sey lagaaown mey sunehri jaali
Mujh ko bulwaaeeye har saal Madinay waley
Sadqah Hasnain ka bhar dijiye jholi meri
Mujh ko kar dijiye khush haal Madinay waley
Aale athhar kei mey geeth hameysha gaaon
Khush rahay mujh sey teri Aal Madinay waley
Apney dukh dard sunaaon mey kisay teray siwa
Bin theray kown sunay haal Madinay waley
Aeybe mehshar kahein khulney nah paaein meray
Rakhna daaman mey bahr haal Madinay waley
Dare Khwaja pe sawali ko khada Rehne do
Contributed By King Khan
Dare Khwaja pe sawali ko khada Rehne do
Sar Nadamat se Jhuka Hai to Jhuka Rehne Do
Mujhko Mil Jayenga Sadka Main Chala Jaonga
Kasaay Dil Mera Kadmo Mein Pada Renha Do
Khudhi Farmangey Mujrim pe Who Rehmat Ki Nazar
Mujhko Khawaja ki Adalat Mein Khada Rehne Do
Chorkar Aapka Dar Ab Mein Kaha Jaonga
Iss Gadha Ko Isi Saye mein Pada Rehne Do
Roz-e-Mehshar Yeh Gunahgaar Ke Kaam Aayenga
Warsi Rang Chada Hain to Chada Rehne Do
Roz Karta Hoon Apne Khawaja se Khalil
Apni Rehmat Se Jahaan Mera Saja Rehne Do
Yah Kis Shahnsha Ki Aamad Aamad Hai
Contributed By King Khan
Yah Kis Shahnsha Ki Aamad Aamad Hai [2x]
Bolo Marhaba Bolo Marhaba
Ya Kaun Say Shaha Wala Ki Aamad Aamad Hai [2x]
Bolo Marhaba Bolo Marhaba
Sarkar Ki Aamad Marhaba, Sardar Ki Aamad Marhaba,
Huzoor Ki Aamad Marhaba, Aaqa Ki Aamad Marhaba
Bolo Marahaba Bolo Marahaba [4x]
Yah Aaj Tara Zamee Ki Taraf Hai Q Maail [2x]
Yah Asmaan Say Payham Hai Noor Q Nazil
Yah Kis Shahnsha Ki Aamad Aamad Hai
Ya Kaun Say Shaha Wala Ki Aamad Aamad Hai
Bolo Marahaba Bolo Marahaba [4x]
Yah Aaj Kiya Hai Zamana Nay Rang Badla Hai [2x]
Yah Aaj Kiya Hai Kay Alam Kay Dhang Badla Hai
Yah Kis Shahnsha Ki Aamad Aamad Hai
Ya Kaun Say Shaha Wala Ki Aamad Aamad Hai
Bolo Marahaba Bolo Marahaba [4x]
Sarkar Ki Aamad Marhaba, Sardar Ki Aamad Marhaba,
Huzoor Ki Aamad Marhaba, Aaqa Ki Aamad Marhaba
Bolo Marahaba Bolo Marahaba [4x]
Yah Aaj Kahai Ki Shaadi Hai Arsh Q Jhooma [2x]
Lab-e-Zameen Ko Lab-e-Asmaa Q Chuma
Yah Kis Shahnsha Ki Aamad Aamad Hai
Ya Kaun Say Shaha Wala Ki Aamad Aamad Hai
Bolo Marahaba Bolo Marahaba [4x]
Rasool Unhi Kay Toh Mujhda Sunanay Aaya Hai [2x]
Inhi Kay Aana Ki Khushiya Manana Aaya Hai
Yah Kis Shahnsha Ki Aamad Aamad Hai
Ya Kaun Say Shaha Wala Ki Aamad Aamad Hai
Bolo Marahaba Bolo Marahaba [4x]
Sarkar Ki Aamad Marhaba, Sardar Ki Aamad Marhaba,
Huzoor Ki Aamad Marhaba, Aaqa Ki Aamad Marhaba
Bolo Marahaba Bolo Marahaba [4x]
Feerista Aaj Jo Dhooma Machanay Aaya Hai [2x]
Inhi Kay Aana Ki Shaadi Rachana Aaya Hai
Yah Kis Shahnsha Ki Aamad Aamad Hai
Ya Kaun Say Shaha Wala Ki Aamad Aamad Hai
Bolo Marahaba Bolo Marahaba [4x]
Yah Seeda Rasta Haq Ka Batana Aya Hai [2x]
Ya Haq Kay Bando Ko Haq Say Milanay Aaya Hai
Yah Kis Shahnsha Ki Aamad Aamad Hai
Ya Kaun Say Shaha Wala Ki Aamad Aamad Hai
Bolo Marahaba Bolo Marahaba [4x]
Sarkar Ki Aamad Marhaba, Sardar Ki Aamad Marhaba,
Huzoor Ki Aamad Marhaba, Aaqa Ki Aamad Marhaba
Bolo Marahaba Bolo Marahaba [4x]
Sunogay La Na Zaban-e-Karim Say Noori [2x]
Yah Faiz-o-Jood Kay Dariya Bahana Aaya Hai
Yah Kis Shahnsha Ki Aamad Aamad Hai
Ya Kaun Say Shaha Wala Ki Aamad Aamad Hai
Bolo Marahaba Bolo Marahaba [4x]
Sarkar Ki Aamad Marhaba, Sardar Ki Aamad Marhaba,
Huzoor Ki Aamad Marhaba, Aaqa Ki Aamad Marhaba
Bolo Marahaba Bolo Marahaba [4x]
Aey Sabaa Mustafa se Keh Dena
Contributed By King Khan
Aey Sabaa Mustafa se Keh Dena
Gum ke mare salaam kehte hain
Yaad karte he aap ko shaam or sahar
Besahaare salaam kehte hain
Allah Allah, Huzoor ki Baatein
Marhabaa rang or Noor ki Baatein
Chaand jinki balaaye letaa hai
Or Sitaare salaam kehte hain
Zaaire Kaaba tu madine main
Mere Aaqa se itna kehdena
Pyaare Aaqa Rasool Sunlijiye
Gum ke maare salaam kehte hain
Zikr tha aakhri maheene ka
Tazkira chir gayaa Madine ka
Haajio Mustafa se Kehdena
Gum ke maare salaam kehte hain
Aey payaami meri Qasam he tujhe
Arz karna Rasool-e Akram se
Qalb-e Mutrib ki he Huzoor tarap
Or saare salaam kehte hain
Subz Gumbad ka aankh me manzar
Or tasawwur me Aap ka mimbar
Saamne jaaliyan hain Rauze ki
Aajzi se salaam kehte hain
Allah Allah, Huzoor ke Gaisu
Bhini Bhini mehekthi wo khusbu
Jinse ma'mur fiza harsu
Wo nazaare salaam kehte hain
Aey Khuda ke Habib Pyaare Rasool
Ye hamaara salaam keejye Qabool
Aaj mehfil me jitney haazir hain
Milke saare salaam kehte hain
MORE COMING SOON INSHAALLAH!!
Posted 26 February 2007 - 11:30 AM (#55)
AssalamuAlaykum
Dear Salle Alaa Nabiye Na & other contributorsMay Allah The Exalted reward you, this is a great thread & much appreciated by all
May the sweet words of praise for our Beloved Muhammad
spread to every corner of the world
Yanabi.com Team
"The melodies of Raza echo resoundingly in the gardens....
And why not? Does he not sing the praises of the majestic flower? ."
---------------------------------------------------------------
Posted 26 February 2007 - 02:08 PM (#56)
Could anyone please get me the lyrics for this naat shareef http://muhammadiya.c...HabibAllah.html ... it will be much appreciated.
JazakAllah
fi amanAllah
Posted 26 February 2007 - 10:04 PM (#57)
CAN you also add Merey Aaqa Aaey Jhoomo (owais qadri)
Posted 27 February 2007 - 09:53 AM (#58)
AsSalamuAlaykum,Could anyone please get me the lyrics for this naat shareef http://muhammadiya.c...HabibAllah.html ... it will be much appreciated.JazakAllahfi amanAllah
Ya Rasool Allah Ya Habeeb Allah
Contributed By King Khan
Ya Rasool Allah Ya Habeeb Allah
Ya Rasool Allah Ya Habeeb Allah
Salam-un-Alaik Salam-un-Alaik Salam-un-Alaik
Yeh Dil Qurban Ap Per Yeh Jaan bhi Qurban Hai
Jo Hai Qurban Ap Par Woh Sahib-e-Iman Hai
Ya Mustafa Ya Mujtaba Khair-ul-Wara Noor-e-Khuda
Ap Jaisa Jahan Main Hai Koi Kahan
Ya Syeddi Ya Habibi Salam-un-Alaik
Salam-un-Alaik Salam-un-Alaik Salam-un-Alaik
Sab se Aola O Ala Hamara Nabi
Sab se Bala O Wala Hamara Nabi
Apne Mola Ka Pyaara Hamara Nabi
Dono Alam ka Dulha Hamara Nabi
Ya Mustafa Ya Mujtaba Khair-ul-Wara Noor-e-Khuda
Ap Jaisa Jahan Main Hai Koi Kahan
Ya Syeddi Ya Habibi Salam-un-Alaik
Salam-un-Alaik Salam-un-Alaik Salam-un-Alaik
Bhuj Gayin Jiss ke Aage Sabhi Mashalein
Shama Woh Le Ker Aaya Hamara Nabi
Jinke Talwon ka Dhowan Hai Aab-e-Hayat
Hai Woh Jaan-e-Masiha Hamara Nabi
Ya Mustafa Ya Mujtaba Khair-ul-Wara Noor-e-Khuda
Ap Jaisa Jahan Main Hai Koi Kahan
Ya Syeddi Ya Habibi Salam-un-Alaik
Salam-un-Alaik Salam-un-Alaik Salam-un-Alaik
Husn Khata hai jiss ke Namak Ki Kasam
Woh Maleehe Dilara Hamara Nabi
Zikr Sab kii Ke Jab Tak Na Mazkoor Hon
Namkeen-e-husn Wala Hamara Nabi
Ya Mustafa Ya Mujtaba Khair-ul-Wara Noor-e-Khuda
Ap Jaisa Jahan Main Hai Koi Kahan
Ya Syeddi Ya Habibi Salam-un-Alaik
Salam-un-Alaik Salam-un-Alaik Salam-un-Alaik
Jiss ki Do Boond Hain Kosar-o-Sansreet
Hai woh Rahmat ka Darya Hamara Nabi
Jaise sab ka Khuda Aik Hai Waise Hi
En ka Unka Tumhara Hmara Nabi
Ya Mustafa Ya Mujtaba Khair-ul-Wara Noor-e-Khuda
Ap Jaisa Jahan Main Hai Koi Kahan
Ya Syeddi Ya Habibi Salam-un-Alaik
Salam-un-Alaik Salam-un-Alaik Salam-un-Alaik
Karn-o- Badli Rasoolon Ki Hoti Rahi
Chand Badli Ka Nikla Hamara Nabi
Kaun Deta Hai Dene Ko Mon Chahiye
Dene Wala Hai Sacha Hamara Nabi
Ya Mustafa Ya Mujtaba Khair-ul-Wara Noor-e-Khuda
Ap Jaisa Jahan Main Hai Koi Kahan
Ya Syeddi Ya Habibi Salam-un-Alaik
Salam-un-Alaik Salam-un-Alaik Salam-un-Alaik
Kya Khabar Kitne Taar-e-Khile Chup Gaye
Par Na Doob-e-Na Dooba Hamara Nabi
Mulk-e-Konain Main Ambiya Tajdaar
Tajdaaron Ka Aaqa Hamara Nabi
Ya Mustafa Ya Mujtaba Khair-ul-Wara Noor-e-Khuda
Ap Jaisa Jahan Main Hai Koi Kahan
Ya Syeddi Ya Habibi Salam-un-Alaik
Salam-un-Alaik Salam-un-Alaik Salam-un-Alaik
La Maqan Tak Ujala Hai Jiss ka Woh hai
Har Maqan Ka Ujala Hamara Nabi
Saar-e-Achon Main Acha Samjhiye Jisse
Hai Uss Achche Se Achcha Hamara Nabi
Ya Mustafa Ya Mujtaba Khair-ul-Wara Noor-e-Khuda
Ap Jaisa Jahan Main Hai Koi Kahan
Ya Syeddi Ya Habibi Salam-un-Alaik
Salam-un-Alaik Salam-un-Alaik Salam-un-Alaik
Jiss ne Tukre Kiye Hain Qamar Ke Woh Hai
Noor-e-Wahdat Ka Tukra Hamara Nabi
Sab Chamak Wale Ujlon main Chamka Kiye
Andhe Sheeshon Main Chamka Hamara Nabi
Ya Mustafa Ya Mujtaba Khair-ul-Wara Noor-e-Khuda
Ap Jaisa Jahan Main Hai Koi Kahan
Ya Syeddi Ya Habibi Salam-un-Alaik
Salam-un-Alaik Salam-un-Alaik Salam-un-Alaik
Jiss ne Murda Dilon Ko Di Umar-e-Abad
Hai woh Jaan-e-Masiha Hamara Nabi
Gamzadon ko Raza Mujda Dijiye Ke Hai
Bekason Ka Sahara Hamara Nabi
Ya Mustafa Ya Mujtaba Khair-ul-Wara Noor-e-Khuda
Ap Jaisa Jahan Main Hai Koi Kahan
Ya Syeddi Ya Habibi Salam-un-Alaik
Salam-un-Alaik Salam-un-Alaik Salam-un-Alaik
Posted 27 February 2007 - 10:17 AM (#59)
AsSalamuAlaykumCAN you also add Merey Aaqa Aaey Jhoomo (owais qadri)
Mere Aaqa Aaye Jhoomo Mere Daata Aaye Jhoomo
Contributed By King Khan
Mere Aaqa Aaye Jhoomo Mere Daata Aaye Jhoomo
Mere Aaqa Aaye Jhoomo Mere Daata Aaye Jhoomo
Pyaare Aqa Aaye Jhoomo Mere Mola Aaye Jhoomo
Eid-e-Milad un Nabi Hai Dil Bada Masroor Hai
Eid-e-Milad un Nabi Hai Dil Bada Masroor Hai
Eid Dewaanon Ki Tu Bara Rabi Un Noor Hai
Mere Aaqa Aaye Jhoomo Mere Daata Aaye Jhoomo
Mere Aaqa Aaye Jhoomo Mere Daata Aaye Jhoomo
Mere Haami Aaye Jhoomo Mere Yawar Aaye Jhoomo
Mere Aaqa Aaye Jhoomo Mere Daata Aaye Jhoomo
Iss Taraf Jo Noor Hai Tu Uss Taraf Bhi Noor Hai
Iss Taraf Jo Noor Hai Tu Uss Taraf Bhi Noor Hai
Zarra Zarra Sab Jahan Ka Noor Se Ma'amoor Hai
Mere Aaqa Aaye Jhoomo Mere Daata Aaye Jhoomo
Mere Aaqa Aaye Jhoomo Mere Daata Aaye Jhoomo
Sarkar Ki Amad Marhaba Dildar Ki Amad Marhaba
Gamkhawar ki Amad Marhaba Dildar ki Amad Marhaba
Mere Aaqa Aaye Jhoomo Mere Daata Aaye Jhoomo
Mere Haami Aaye Jhoomo Mere Yawar Aaye Jhoomo
Mere Aaqa Aaye Jhoomo Mere Daata Aaye Jhoomo
Har Malak Hai Shadman Khush Aj Har ek Hoor Hai
Han Magar Shetan Baham Rufka Bada Ranjoor Hai
Mere Aaqa Aaye Jhoomo Mere Daata Aaye Jhoomo
Mere Aaqa Aaye Jhoomo Mere Daata Aaye Jhoomo
Sarkar Ki Amad Marhaba Dildar Ki Amad Marhaba
Sab Jhoom ke Bolo Marhaba Sab Milkar Bolo Marhaba
Mere Aaqa Aaye Jhoomo Mere Daata Aaye Jhoomo
Mere Haami Aaye Jhoomo Mere Yawar Aaye Jhoomo
Amad-e-Sarkar se Dil Mast Hoi Kafoor Hai
Kiya Zameen Kiya Aasman Har Samt Chaya Noor Hai
Mere Aaqa Aaye Jhoomo Mere Daata Aaye Jhoomo
Mere Aaqa Aaye Jhoomo Mere Daata Aaye Jhoomo
Sarkar Ki Amad Marhaba Dildar Ki Amad Marhaba
Gamkhwar ki Amad Marhaba Anwar ki Amad Marhaba
Mere Aaqa Aaye Jhoomo Mere Daata Aaye Jhoomo
Mere Aaqa Aaye Jhoomo Mere Daata Aaye Jhoomo
Jashn-e-Milad un Nabi Hai Kiun Na Jhoomain Aj Hum
Jashn-e-Milad un Nabi Hai Kiun Na Jhoomain Aj Hum
Muskurati Hain Baharain Sab Faza Purnoor Hai
Mere Aaqa Aaye Jhoomo Mere Daata Aaye Jhoomo
Sarkar Ki Amad Marhaba Dildar Ki Amad Marhaba
Sab Milkar Bolo Marhaba Aaqa ki Amad Marhaba
Mere Aaqa Aaye Jhoomo Mere Daata Aaye Jhoomo
Mere Aaqa Aaye Jhoomo Mere Daata Aaye Jhoomo
Mere Haami Aaye Jhoomo Mere Yawar Aaye Jhoomo
Mere Aqa Aaye Jhoomo
Gham ke Badal Chchat Gaye Har Gham ka Maara Jhoom Utha
Aa Gya Khushiyan liye Mah-e-Rabi un Noor Hai
Mere Aaqa Aaye Jhoomo Mere Daata Aaye Jhoomo
Mere Aaqa Aaye Jhoomo Mere Daata Aaye Jhoomo
Mere Aaqa Aaye Jhoomo Mere Daata Aaye Jhoomo
Mere Aaqa Aaye Jhoomo Mere Daata Aaye Jhoomo
Amina Tujhko Mubarak Shah Ki Milad Ho
Amina Tujhko Mubarak Shah ki Milad Ho
Tera Aangan Noor Balk-e-Ghar Ka Ghar Sab Noor Hai
Mere Aaqa Aaye Jhoomo Mere Daata Aaye Jhoomo
Sarkar Ki Amad Marhaba Dildar Ki Amad Marhaba
Gamkhwar ki Amad Marhaba Sarkar Ki Amad Marhaba
Sab Milkar Bolo Marhaba Huzoor Ki Amad Marhaba
Mere Aaqa Aaye Jhoomo Mere Daata Aaye Jhoomo
Pyaare Aqa Aaye Jhoomo Mere Aqa Aaye Jhoomo
Hon Gulam-e-mustafa Attar ka Dawa Hai Yeh
Hon Gulam-e-mustafa Attar ka Dawa Hai Yeh
Kash Aqa bhi yeh Farmayen Hamain Manzoor Hai
Mere Aaqa Aaye Jhoomo Mere Daata Aaye Jhoomo
Mere Aaqa Aaye Jhoomo Mere Daata Aaye Jhoomo
Mere Aaqa Aaye Jhoomo Mere Daata Aaye Jhoomo
Posted 27 February 2007 - 11:04 AM (#60)
JazakAllah for the lyrics (Merey Aaqa Aaey Jhoomo)


Help
RSS Feed










