Lyrics to all naats - find what you are looking for (Updated Once Every Week) (Video Alongwith Lyrics of Little Farhan Ali
Posted 20 January 2008 - 03:38 AM (#221)
mustafa jaan-e-rehmat peh laakho salam
sham-e-bazme hidyat peh laakho salam
jis suhaani ghari chamka taba ka chand
us dil afrowzay saat peh lakho salam
jis kay mathay shafat ka sihra raha
us jabaa-nay saadat peh laakho salam
aik mayra he rehmat pe dawa nai
shaha ke sare umat peh laakho salam
shabay asra kay dula pei dame durood
nowsha-hay ba-e-janat peh laakho salam
woh zuba jis ko sab kun ki kunji kahe
us ki naffiz hukumat peh laakho salam
jis kay aanay say yasrab madina bana
aysa aaqa ke amad peh laakho salam
umatei umatei lab peh jari rahe
umatei tayre kismat peh laakho salam
pathay pathay peh likah hai kamli wale kanaam
us kamli wale muhammad(peace be apon him) peh laakho salam
muj say khidmat kay kudsee kahe ha raza
ya nabi salam mu alaka
ya rasool salamu alaka
ya habiba salamu alaka
salawa tula alaka
rehmoto kay taaj waalay
dow jaha ke raaj waalay
arsh ki miraaj waalay
aasiya ki laaj waalay
ya nabi salam mu alaka
ya rasool salamu alaka
ya habiba salamu alaka
salawa tula alaka
bakht ka chamka sitara
hazri ka ho ishara
deykar rozah tumhara
phir kahay kadim tumahara
ya nabi salam mu alaka
ya rasool salamu alaka
ya habiba salamu alaka
salawa tula alaka
dur ho jaayai yei duuri
hasil ho jaayai khuzuri
deykh luu wo shaklay nuury
dil ki haratei ho puri
ya nabi salam mu alaka
ya rasool salamu alaka
ya habiba salamu alaka
salawa tula alaka
Posted 20 January 2008 - 03:48 AM (#222)
|
Bigri Bhe Banain Ge Jalwy Bhe Dekhain ge Ghabrao Na Deewano Sarkar Bolain Ge
Aur gumbad E Khazran key Purnoor nazaroon Ko Hum Ja Key Madina Phir Wapis Nahi Aay ge
Gir Jay Gein Dewarein Sab Dekhna Rahoo Ki Hum Roza E Aqdas Par Jab Ansoo Bahain Ge
Is Deed Ki Atish Ko Kuch Aur Bharkny Doo Hum Tishna Dily Chal Kar Zam Zam Sey Bojhay Ge
Jab Fesla Ummat Ka Karny Ko Khuda Ho Ga Ummat Ko Shahe batah Kamli Mey Chupain ge
Ye Poch Key Aaqa Sey Ey Hajion Tum Ana Ishrat Ko Dare Aqdas Kab aap Bolain Ge
|
Posted 20 January 2008 - 03:57 AM (#223)
|
Madine ki Azmath Madine ke jalwe Madine ke charche Madine ka manzar ALLAHUAKBAR ALLAHUAKBAR Madine ki baatein Madine ki raatein Yahaan to rahte hain mere payambar Jo hai saare aalam ke Sarwar Isliye hai Taiba kitna munnawar ALLAHUAKBAR ALLAHUAKBAR Kitna hai pyara pyara Madina Ise Rab ne kitna sawara Madine ki azmath ke mai sadqe jawaan Isme rahte hai mere payambar ALLAHUAKBAR ALLAHUAKBAR Madine ka wo pyara manzar Waha ke phool aur wahaan ke kankar Wahaan ka farsh aur minar-e-anwar Aur waha ka Mihrab-o-Mimbar ALLAHUAKBAR ALLAHUAKBAR Na koi zar hai Na koi par hai chala bhi jaata nahi hai mujh se Phir aa'un kaise tumhare Dar par ALLAHUAKBAR ALLAHUAKBAR Gumbade Khizra ke pyare nazare Wahaan ki galiyaan wahaan ke raste Wahaan ki diwarein wahaan ke jalwe Aur wo sunehra Rauda-e-Anwar ALLAHUAKBAR ALLAHUAKBAR Madine jaakar sar ko jhuka kar Karunga arz mai ae mere Sarwar Maaf kardo ise Shafi-e-mahshar Yehi pe rakhlo mujh ko Apne Dar par ALLAHUAKBAR ALLAHUAKBAR Bulwalo AQA jaber ko Dar par Iski jaan jaae tumhare Dar par Qatema ho iska eman par Hotaun pe ho bas AllahuAkbar ALLAHUAKBAR ALLAHUAKBAR |
|
Aqa ko pukaar bandey, Aqa ko pukaar! Insha'Allah ho jaey ga tera beyra paarKya kehna darbar Nabi ka ,uss ki shaan aali hai. Hargiz na mehroom woh lauta uss dar ka jo sawaali hai Aao chalain ham sooey madinah, chowr ke sab ghar bar. Un ke haath main kul kunji hai Rabb ne unain Mukhtar kiya Ham ko Un ka mangta banaya aur Un ko Sarkaar kiya Jo Sarkaar ke dar ka gada hai, woh khud hai mukhtar Thumma dana fatadallaa ka mansab Sarkaar ko hasil hai Puhnch na paya koi uss jah, jo sarkaar ki manzil hai Asraa ki shab uznu minni Maulaa ki thi pukaar. Aala Hazrat ne ya Rabb yeh dars hamian sikhlaya hai Jo gustakh-e-khuda ya Nabi hai apna nahi woh paraya hai Haan aisey gustakhoon par hai Khaliq ki phatkaar Kiyun ghamgeen hai tu ay sayyed dar par who bulwain gey Ranj-o-gham sab door karain gey sooey bhaag jagayain gey Aur bhi koi Unn ke siwa hai dukhiyoon ka gham khawar |
|
Ban ker faqeer jao, Sarkaar (S.A.W.W) ki galli may Dil ki muraad pao, Sarkaar (S.A.W.W) ki galli may Aisa kareem (S.A.W.W) koi tujh ko na phir millay ga Baithay raho gadao, Sarkaar (S.A.W.W) ki galli may Jannat may rehnay waali, huurou say koi keh day Aik tum bhi ghar banao, Sarkaar (S.A.W.W) ki galli may Kis kis ko may bataou, khud ja kay koi daikhay Jannat ka der khulla hay, Sarkaar (S.A.W.W) ki galli may |
|
Dunya Te Aya Koi Teri Na Misaal Da Mein Labke Le Awa Kitho Sona Tere Naal Da Soneya daroood peche, rab teri zaat nu, mukh tera noor wande, saare kainaat nu Shedaey zamaana, tere husnu jamaal da, Mein Labke Le Awa Kitho Sona Tere Naal Da Dunya Te Aya Koi Teri Na Misaal Da Makke reen waaleya, madine or waalea, kethe khaan walia nu, sinne laan waaleya Tere bina dighe anu, koina sambaal da Mein Labke Le Awa Kitho Sona Tere Naal Da Dunya Te Aya Koi Teri Na Misaal Da Terian te sifta daan, koiwi saamb nei, du te kithe tereaa, ghulama da jawab nahi. Hu raata i roob wande, abshii bilal da Mein Labke Le Awa Kitho Sona Tere Naal Da Dunya Te Aya Koi Teri Na Misaal Da Ho kapeya dewee tere, sacheya piyaara da, joondaye zahoori naa. laike tere yaaran da Golaye tera, tere dard da, tere yaal da Mein Labke Le Awa Kitho Sona Tere Naal Da Dunya Te Aya Koi Teri Na Misaal Da |
Posted 20 January 2008 - 04:03 AM (#224)
|
Dildaar barhe aa'ey mahboob barhe dekhey Jo dekhey sabhii un keh qadmon main parhe dekhey Sardaare do 'aalam ki ta'ziim keh kiyaa kehne Mursal bhii sabhii jin ki raahon main karhe dekhey Yaad un keh Madiinah ki jab dil main utar aai Palkon keh kinaaron pih moti seh jurhe dekhey Mahboob ki midhat main hai taab sukhan kis ko Sab ahle sukhan main ne hairat main garhe dekhey Un jaisaa Zuhurii ab aaey gaa nah duniya main Dildaar barhe aa'ey mahboob barhe dekhey |
Tu ne batil ko mitaya hai imam ahmed raza
deen ka danka bajaya hai imam ahmed raza
dour-e-batil aur zalalat hind me tha jis ghadi
tu mujadded ban ke aaya ae imam ahmed raza
ahle sunnat ka chaman ujda huva veeran tha
pheer utha tu jab ke aaya ae imam ahmed raza
tu ne baatil ko mita kar deen ko baqshdi jila
sunnato ko phir jilaya ae imam ahmed raza
ae imam ahle sunnat naibe shahe umam
kijiye ham par bhi saya ae imam ahmed raza
hashr tak jari rahega faiz aqa aap ka
faiz ka dariya bahaya ae imam ahmed raza
|
Faaslaun ko takalluf hai hum se agar, hum bhi bay bus nahi, bay sahara nahi
Inki Chasme Karam ko hai, iss ki khabar, kis musafir ko hai kitna shauqe safar Hum ko Iqbal jab bhi ijazat mili, hum bhi AQA ke Darbaar tak jaeng |
|
Gar Talab Sey Kuch Masewa Chahey Un Ka Daman Nahi Chorna Chahey Dil Ko Deed E Rukhey Mustafa Chahey Ainey Key Liey Aina Chahey Hath Mey Daman E Mustafa Aa Giya Eik Gunahgar Ko Aur Kia Chahey Ley Chalo Aab Madine Ko Jaga Karo Mujh Ko Taiba Ki Abo hawa Chaey Gar Talab Sey Bhe Kuch Masewa Chahey Un ka Daman Nahi Chorna Chahey Tum Miley To Doalam Ki Dulat Mile Is Sey Barh Kar Humey Aur Kia Chahey Nematain Dono Alam Ki Dey Kar Mujhy Pochty Hein Bata Aur Kia Chahey Samny Sarware Do jahan Aa Gay Hashr Mey Aur Bismil Ko Kia Chahey Gar Talab Sey Bhe Kuch Masewa Chahey Un Ka Daman Nahi Chorna Chahey |
|
gham hogaye be shumar aaqa banda tere nisar aqa bigra jata hai khel mera aqa aqa sanwar aqa majboor hai ham to fikr kia hai tum ko to hai iqtiyaar aaqa mai dur hoo tum to ho mere paas Sun lo meri pukaar aqa mujh sa koi gham zada na hoga tum sa koi gham gusar aqa manjhdaar pe aake naw tuti de haat ke hoo mai paar aqa halka hai agar hamara palla bhari hai tera viquar aqa tuthi jaati hai pith meri lillah ye boj utar aqa jis ki marzi khuda na taali mera hai wo namodar aqa kiya bhul hai inke hote kaha laiq duniya ke ye tajidaar aqa un ke adni gadha pe mit jaye aise aise haazar aqa itni rahmat RAZA pe karlo la yaqrubu hul bawar aqa |
Posted 20 January 2008 - 04:08 AM (#225)
|
Hai kalaam e Ilahi me Shamsuz'zuha, Tere chehre Noore Faza ki qasam Qasam e Shab e taar me raaz yeh tha, ke Habeeb ki zulfe duta ki qasam Tere Khulq ko HAQ ne azeem kaha, Teri khilq ko HAQ ne jameel kiya Koee Tujh sa huwa hai na hoga Shaha, Tere Khaliqe husn o ada ki qasam Woh Khuda ne hai martaba tujh ko diya, na kisi ko mile na kisi ko mila Ke Kalaam e majeed ne khaee Shaha, Tere shehro kalamo baqa ki qasam Tera masnade naaz hai Arshe baree, Tera mehrame raaz hai rooh e ameen Tu hi Sarware har do jahaan hai shaha, Tera misl nahi hai Khuda ki qasam Yehi 'arz hai khaliq e Ard o sama, Woh Rasool hai Tera, mai bandah Tera Mujhe unki jawaar me day woh jagah, ke hai Khuld ko jiski safa ki qasam Tu hi bandaun pa karta hai lutf o 'Ata, Tujhi pe bharosa hai Tujhi se dua Mujhe Jalwah e Pak Rasool dikha, Tujhe apne hi izz o 'Ala ki qasam Mere gar chay gunah hai had se siwa, magar Un se ummed hai Tujh se rija Tu Raheem hai Unka Karam hai, gawah woh Kareem hai Teri 'Ata ki qasam Yehi kehti hai bulbule baagh e jina, ke Raza ki tarha koee sehre bayaan Nahi hind me wasif shahe huda, mujhe shaukhe tabae Raza ki qasam |
|
Hammay apna Woh (S.A.W) kehtey hain, Muhabbat ho tou aise ho |
|
Hawa ki khusboo bata rahi hay, Woh zulf apni sajaa rahay hain Sawaari Tayba say chal parri hay, Huzuur tashreef laa rahay hain Aur kahee pay mehfil hay mehkashou ki, kahee pay mehfil hay dil jallou ki Ye kitnay khushbakht hain jo apnay Nabi ki mehfil saja rahay hain Na paas bhi ho tou suuna saawan, Woh jis pay raazi wohi suhaagan Jinhou nay pakra Nabi ka daaman, Unhi kay ghar jagmagaa rahay hain Habeeb-e-daawar ghareeb parwar Rasool-e-Akram karam kay payker Kissi ko der pay bula rahay hain, kissi kay khawaab may aa rahay hain May apnay Khair-ul-waraa kay sadqay, May Unki shaan-e-ata kay sadqay Bhara hay aybou say meray daaman, Huzuur phir bhi nibha rahay hain Bannay ga jaanay ka phir bahaana, kahay ga aaker koi dewaana Challo Niyaazi challay Madinay, Madinay Waalay bula rahay hain |
|
Ik baar Madine mein, ho jaey mere jaana Phir aur na kuch maangein, sarkaar ka diwana Pal Pal mera dil tarpe, din raat kare zaaari kab aoun Madine? kab aey meri baari? kab ja ge main dekhoun ga, darbaar woh shahaana? Is aas par jiita houn, ik roz bulaey ge aur gunbad-e-khazra ka, didar karaein ge phir pesh karru gaa main, ashiqo bhara nazrana Ik baar Madine mein ho jaey mera jaana Bechain nighahon ko dedaar 'ata kar do, Daman mera kuch owse yaa shah-e-ummam barh do Abad Khuda rakhe aaqa tera maikana Itni si tamana hai, ho jaey agar puuri jaane ko madina main, ho jaey jo manzuuri bin diide ki aey shaahan, mar jaey na diwana Ik baar Madina mein ho jaey mera jaana Phir aur na kuch maange, sarkaar ka diwaana |
Posted 20 January 2008 - 04:11 AM (#226)
|
Hai kalaam e Ilahi me Shamsuz'zuha, Tere chehre Noore Faza ki qasam Qasam e Shab e taar me raaz yeh tha, ke Habeeb ki zulfe duta ki qasam Tere Khulq ko HAQ ne azeem kaha, Teri khilq ko HAQ ne jameel kiya Koee Tujh sa huwa hai na hoga Shaha, Tere Khaliqe husn o ada ki qasam Woh Khuda ne hai martaba tujh ko diya, na kisi ko mile na kisi ko mila Ke Kalaam e majeed ne khaee Shaha, Tere shehro kalamo baqa ki qasam Tera masnade naaz hai Arshe baree, Tera mehrame raaz hai rooh e ameen Tu hi Sarware har do jahaan hai shaha, Tera misl nahi hai Khuda ki qasam Yehi 'arz hai khaliq e Ard o sama, Woh Rasool hai Tera, mai bandah Tera Mujhe unki jawaar me day woh jagah, ke hai Khuld ko jiski safa ki qasam Tu hi bandaun pa karta hai lutf o 'Ata, Tujhi pe bharosa hai Tujhi se dua Mujhe Jalwah e Pak Rasool dikha, Tujhe apne hi izz o 'Ala ki qasam Mere gar chay gunah hai had se siwa, magar Un se ummed hai Tujh se rija Tu Raheem hai Unka Karam hai, gawah woh Kareem hai Teri 'Ata ki qasam Yehi kehti hai bulbule baagh e jina, ke Raza ki tarha koee sehre bayaan Nahi hind me wasif shahe huda, mujhe shaukhe tabae Raza ki qasam |
|
Hammay apna Woh (S.A.W) kehtey hain, Muhabbat ho tou aise ho |
|
Hawa ki khusboo bata rahi hay, Woh zulf apni sajaa rahay hain Sawaari Tayba say chal parri hay, Huzuur tashreef laa rahay hain Aur kahee pay mehfil hay mehkashou ki, kahee pay mehfil hay dil jallou ki Ye kitnay khushbakht hain jo apnay Nabi ki mehfil saja rahay hain Na paas bhi ho tou suuna saawan, Woh jis pay raazi wohi suhaagan Jinhou nay pakra Nabi ka daaman, Unhi kay ghar jagmagaa rahay hain Habeeb-e-daawar ghareeb parwar Rasool-e-Akram karam kay payker Kissi ko der pay bula rahay hain, kissi kay khawaab may aa rahay hain May apnay Khair-ul-waraa kay sadqay, May Unki shaan-e-ata kay sadqay Bhara hay aybou say meray daaman, Huzuur phir bhi nibha rahay hain Bannay ga jaanay ka phir bahaana, kahay ga aaker koi dewaana Challo Niyaazi challay Madinay, Madinay Waalay bula rahay hain |
|
Ik baar Madine mein, ho jaey mere jaana Phir aur na kuch maangein, sarkaar ka diwana Pal Pal mera dil tarpe, din raat kare zaaari kab aoun Madine? kab aey meri baari? kab ja ge main dekhoun ga, darbaar woh shahaana? Is aas par jiita houn, ik roz bulaey ge aur gunbad-e-khazra ka, didar karaein ge phir pesh karru gaa main, ashiqo bhara nazrana Ik baar Madine mein ho jaey mera jaana Bechain nighahon ko dedaar 'ata kar do, Daman mera kuch owse yaa shah-e-ummam barh do Abad Khuda rakhe aaqa tera maikana Itni si tamana hai, ho jaey agar puuri jaane ko madina main, ho jaey jo manzuuri bin diide ki aey shaahan, mar jaey na diwana Ik baar Madina mein ho jaey mera jaana Phir aur na kuch maange, sarkaar ka diwaana |
|
Ik roze ho gaa jaanaa sarkar ki gali main, Ho ga khabi tikanaah sarkar (sallallahu alaihi wassalam) ki gali main, Ankhein tu dekhne ko pehley hi muztarib theen, Dil bhi huwaa ruwanaa sarkar (sallallahu alaihi wassalam) ki gali main, Go paas kuch nahi hai lekhan yaa dekh lay gaa, Ik din hamien zamaanah sarkar (sallallahu alaihi wassalam) ke gali main, Kabhi ho haseen tasawar khabi khud main jaaoon chal kar, Rahe yuunhi aanaa jaanaa sarkar (sallallahu alaihi wassalam) ke gali main, Hain kaheen khazaan ke pehray kaheen do gharhii bahaaray, Mosam sadaa suhana sarkar (sallallahu alaihi wassalam) ke gali main, Dil main nabi ki yaadien lab pe nabi ki na'tein, Jaanaa tu aese jaanaa sarkar (sallallahu alaihi wassalam) ke gali main, Samjhein gey ham Niazii un ki karam nawaazi, Jis din huwey rawaanah sarkar (sallallahu alaihi wassalam) ke gali main...... |
|
Jab masjid e nabvi kay miinaar nazar aa-ay Allah ki rahmat kay aasaar nazar aa-ay Manzar ho bayaan kesay alfaaz nahiin miltay Jiss waqth muhammad ka darbaar nazar aa-ay Bas yaad raha itna siinay say lagi jaali Phir yaad nahiin kya kya anwaar nazar aa-ay Dukh dard kay maaron ko gham yaad nahiin rehtay Jab saamnay aankhon kay gham-khuar nazar aa-ay Makkay ki fiza-on mayn teba ki hawa-on mayn Ham nay to jidhar daykha sarkaar nazar aa-ay Chhorr aaya zahoori meyn dil o jaan madinay mayn Ab jiina yahaan mujh ko dushwaar nazar aa-ay |
Posted 20 January 2008 - 04:16 AM (#227)
|
Jis Taraf Chash'me Muhammad Ke Ishaare Ho Gaye Jitne Zarre Saamne Aaey, Sitaare Ho Gaye Ya Muhammad Aap Ki Nazaro(N) Ka Yeh Ijaaz Hai Jis Taraf Nazarei(N) Uthi(N), Sab Tumhaare Ho Gaye May(N) Hoo(N) Aur Yaadei(N) Madinah Aur Hai Tanhaaiyaa(N) Apne Begaane Sabhi Mujh Se Kinaare Ho Gaye Apni Kamli Ka Zara Saayaah Inaayat Ho Mujhe Dil Ke Dushman Ja, Muhammad Dil Se Pyaare Ho Gaye Sabz Ghumbad Ke Ishaare, Sagar Marhaba Jag Maga Kar Zindagi Ke Maah Paare Ho Gaye |
|
Kaabe ke Badrudduja tumpe karoron Durood Taiba ke Shamsud Duha tumpe karoron Durood Shaafa'e Roze Jazaa tumpe karoron Durood Daafa'e jumla balaa tumpe karoron Durood Dil karo thanda mera woh kaffe paa chaand sa Seene pe rakhdo zaraa tumpe karoron Durood Aur koyee Ghayb kya tum se Nihaan ho bhalaa Jab na Khudaa hi Chupaa tumpe karoron Durood Wo Shabbe Me'raj raaj woh safe Mehshar ka Taaj Koyee bhi aisa huwa tumpse karoron Durood Kar ke tumhare Gunaah mange tumhee se Panaah Tum kaho Daaman me aa tumpe karoron Durood Tum ho Haafiz-o-Mughees kya ha woh Dushman Khabees Tum ho to phir khauf kya tumpe karoron Durood Ek taraf A'daa'e Deen ek taraf he Haasideen Banda he tanha Shaha tumpe karoron Durood Hum ne khataa me na ki tum ne ataa me ki Koyi kami sarwaraa tumpe karoron Durood |
|
Jo Shehr-e-Nabi (S.A.W.W) may jaey ga Wo waapis kaisey aaey ga Jab bichray gaa mar jaey ga Ono Shehr Madina bhulna nae Ono Shehr Madina bhulna nae Ono Shehr.. Dukhiyoo ka ghamkhaar wohi hay Aalam ka mukhtaar wohi hay Hay har aik baat kareenay may Aik dard rahey ga seenay may Hay jis ki jaan Madine may Ono Shehr Madina bhulna nae Ono Shehr Madina bhulna nae Ono Shehr.. Ruumi Habshi, Misri shaami Ho jaawey Maula na jaa we koi khaaki hay ya nuuri hay kab us ko gawaara duuri hay Har aashiq ki majbuuri hay Ono Shehr Madina bhulna nae Ono Shehr Madina bhulna nae Ono Shehr.. Sab ki aankein baras rahi hain Sab ki nazrein taras rahi hain Jo aap ka sag kehlaata hay Jo aap kay tukray khaata hay Jo dekh kay taiba ata hay Ono Shehr Madina bhulna nae Ono Shehr Madina bhulna nae Ono Shehr.. Koun uss Shehr ki baat sunaey Khud Quraan qaseedeh gaey Rehmat kay ajab ja millay hain Husnain (R.A) jahaa per khailay hain Jissay yaad wahaa kay mailay hain Ono Shehr Madina bhulna nae Ono Shehr Madina bhulna nae Ono Shehr.. Jannat par kuu jee lalchaey Shehr Madina bhool na paey Jo Shehr Nabi (S.A.W.W) ki raatein hain Qudrat ki wo sogaatein hain Jissay yaad wahaa ki baatein hain Ono Shehr Madina bhulna nae Ono Shehr Madina bhulna nae Ono Shehr.. Jab uss Shehr ki baat challey ge Hijr ki kaali raat kattey ge Jis dil may Madina rehta hay Jiss aankh say dariya behta hay Dil maira Naat kehta hay Ono Shehr Madina bhulna nae Ono Shehr Madina bhulna nae Ono Shehr.. Jo Shehr-e-Nabi (S.A.W.W) may jaey ga Wo waapis kaisey aaey ga Jab bichray gaa mar jaey ga Ono Shehr Madina bhulna nae Ono Shehr Madina bhulna nae Ono Shehr... |
|
Ka'abay Kay Dar Kay Saamnay Maangee Hai Ye Dua Faqat Haathon Mein Hashar Tak Rahay Daaman-e-Mustafa Faqat Apnay Karam Say Ae Khuda Ishq-e-Rasool Kar Ataa Aakhree Dum Subaan Pay Ho Sallay A'la Sadaa Faqat Tayba Kee Sayr Ko Chalein Qadmon Mein Unki Jaan Dein Duffan Hoon Unkay Shehar Mein Hai Yehee Iltija Faqat Duniya Kee Saari Ne'ymatein Meri Nazar Mein Hainch Hoon Rakhnay Ko Sar Pay Gar Milay Na'lein-e-Mustafa Faqat Munkar Nakeer Qabar Mein Hum Say Sawaal Jab Karein Aisay Mein Wird Hum Rakhein Aap Kay Naam Ka Faqat Naza'a Kay Waqt Jab Meri Saanson Mein Intishaar Ho Meri Nazar Kay Saamnay Gumbad Ho Woh Hara Faqat Na'at-e-Rasool-e-Paak Hai Nazmi Ka Maqsad-e-Hayaat Qabr Mein Bhi Laboon Pay Ho Sarkaar Kee Sana Faqat Written By : Syed Aley Rasool Husnain Miya NAZMI Mahrervi Barkaati |
|
Kadi meynu vi bulaley us dar pey, kadi meri vi tamana poori kardey Madinay vich rehn vale'a, meray Sohney'a Madinay vich rehn vale'a Dam dam yaad teri diil vich rehndi'ey, rohndi'ya ney akhiya tey neendar na pendi'ey Sanu sabz Gumbad dikh'ladey, kadi meri vi tamana poori kardey Madinay vich rehn vale'a, meray Sohney'a Madinay vich rehn vale'a Sadqa shahida da dur hovan duriya, sadlo jii kowl mukh javan majbooriya Sarey suthey naseeb jaga dey, kadi meri vi tamana poori kardey Madinay vich rehn vale'a, meray Sohney'a Madinay vich rehn vale'a Kali kali zulf tey ankh mastani'ey, Sohney'a hai saab teri duniya deewani'ey Eyk noori jaalakh dikh'ladey, kadi meri vi tamana poori kardey Madinay vich rehn vale'a, meray Sohney'a Madinay vich rehn vale'a Hijr di raat lambi keray pasey java main, dill diya gaala keynu adaab suna va main Tuhi sunley kowl bulaley, kadi meri vi tamana poori kardey Madinay vich rehn vale'a, meray Sohney'a Madinay vich rehn vale'a |
Posted 20 January 2008 - 04:18 AM (#228)
warna mujh mangtay ki kia auqat hay
mehr o mah or kehkashan ki roushni
husn-e-Ahmad
ki yeh sab khirat haykalama partay hein teara shajr o hajar
bass khuda kay baad teari zaat hay
shan kay hamil hen saray ambiya
Mearay aaqa
ki magar kia baat hay !jab parhi shahid nay naat -e- Mustafa

jhoom uthi bazam usskay sath hay
yeh sab mearay, kamli walay kay karam ki baat hay
Posted 20 January 2008 - 04:20 AM (#229)
Maqame Mustafa kya hai Mohammad ka Khuda jane
Sada karna mere bas mei tha main ne to sada kar di
Wo kya dei gei main kya loun ga sakhi jane gadha jane
Darana mujh ko to kyoun hai azaab-e-Kabbar se wahid
Wahan Sarkaar aye gei khata jane atta jane
Meri mathi Madine Paak ki Ra'ah mein poncha dena
Kahan le jaye ghi is ko Madine ki hawa jane
Kaha Jibreal ne Sidra talak meri risaaiy hai
Hai kitni manzilein aage Nabi jane Khuda jane
Hamme to shurkhru hona hai Aqa ki nigahoun mein
Zamane ka hai kya Nasir bura jane bala jane
Posted 20 January 2008 - 08:36 PM (#230)
has any1 got the lyrics to the naats noor un ala noor and milaad aya both read by Farhan Qadri Attari i will really apreciate it, i hav a milaad on 9th march i need it kinda urgent so plzzz... if any1 has the lyrics den can u past dem?
jazakallah...
Posted 26 January 2008 - 07:40 PM (#231)
lab pe ati hai dua banke tamana meri
zindagi shama key surat ho hudaaya meri
lab pe ati hai dua banke tamana meri
ho maray dam say yuhi meray watan ki zeenat
jistra phool say hoti hain chaman ki zeenat
zindagi ho meray parwan ki surat ya rab
ho meraaa kaam garibo ki himaayat karna
dard mando say zarifo say mohabbat karna
meray allah aaaa aaaaaaaaaaaaaaaaaaaaa
meray allah burayi say bachana mujhko
naikh jo raha ho us rehpay chalana mujhko
meray allah burayin say bachana mujhko
nekh jo rah ho us rehpay chalana mujhko
meray allah burayin say bachana mujhko
meray allah burayin say bachana mujhko
Posted 27 January 2008 - 02:43 AM (#232)
Mujh ko bhi Muhammad ka deewanah bana jaana
Jo rang keh Jaami par Rumi peh charhaya thaa
Uss rang ki kuch rangath mujh peh bhi charhaa jaana
Qudrat ki nighahein bhi jis chehrey ko takthi hein
Uss chehra-e-anwar ka deedar karaa jaana
Jis khwaab mein ho jaeey deedar Nabi haasil
Aey ishq kabhi mujh ko woh neend sulaa jaana
Deedar-e-Muhammad ki hasrat tho rahe baaqi
Juz iss key har ik hasrat iss dil dey mitaa janaa
Duniya sey Riyaaz ho jab Uqbaa ki taraf jaana
Daagh-e-gham-e-Ahmad sey seeneh ko sajaa jaana
Posted 27 January 2008 - 02:46 AM (#233)
Mujh ko bhi Muhammad ka deewanah bana jaana
Jo rang keh Jaami par Rumi peh charhaya thaa
Uss rang ki kuch rangath mujh peh bhi charhaa jaana
Qudrat ki nighahein bhi jis chehrey ko takthi hein
Uss chehra-e-anwar ka deedar karaa jaana
Jis khwaab mein ho jaeey deedar Nabi haasil
Aey ishq kabhi mujh ko woh neend sulaa jaana
Deedar-e-Muhammad ki hasrat tho rahe baaqi
Juz iss key har ik hasrat iss dil dey mitaa janaa
Duniya sey Riyaaz ho jab Uqbaa ki taraf jaana
Daagh-e-gham-e-Ahmad sey seeneh ko sajaa jaana
Posted 27 January 2008 - 02:52 AM (#234)
|
Do jahaan ke waali ka do jahaan pe saya hea Un ko to khuda ne un ki marzi se banaya hea Noori noori jalwe hean keise pyaare jalwe hean Chaand un ke jalwon ki bheek lene aaya hea Waduha ka chehra hea taaha ka sehra hea Un ke muskurane se zamana jagmagaya hea Toor pe kaha rab ne lantarani musa ko Lekin mere aaqa ko arsh pe bulaya hea Nabiyon ne salami di valiyon ne ghulami ki Sar pe un ke khaaliq ne taaj wo sajaya hea Lete hean dua'en wo karte hean jafa'en wo Seene se laga'en uss ko jiss ne bhi sitaya hea Barkaton ke rele hean nooyon ke mele hean Haleema teri kuttya mean koan muskuraya hea |
Posted 27 January 2008 - 02:55 AM (#235)
Youn hosh-o-khard maflooj hote Dil zook-e-tamasha bhul gayi
Ahsaas ke parde lehraye imaan ki haraarat teezi hoyi
Sajdoun ki tarap Allah Allah sar apna sooda bhul geya
Poncha jo Haram ki Chookhat tak aik ibre karam ne gheer liya
baqi na raha phir hosh mujhe kya mangha aur kya kya bhul geya
Jis waqt dua'a ko haat uthe yaad na saka jo socha tha
Izhaar-e-aaqeedat ki dahan mei izhaar-e-tamana bhul geya
Har waqt barasti hai hai rehmat kaa'be mein Jameel Alllah Allah
Khaki houn main kitna bhul geya aati houn main kitna bhul geya
Posted 27 January 2008 - 02:57 AM (#236)
|
Sab Ka Khaliqo Malik Tu Allah Allah Allahoo Tujse Alam e Rango Boo Allah Allah Allahoo Allah Allah Allahoo Lailha Illah Hoo Zahir Batin Shan Teri Jism Hai Tera Jaan Teri Jaise Phoolo May Khusboo Allah Allah Allahoo Kauno Makan May Raaj Tera Har Banda Mohtaj Tera Sab Ka Palanhar Hai Tu Allah Allah Allahoo Aur Koi Maabood Nahi Aur Koi Masjud Nahi Layaq e Hamdo Sana Hai Tu Allah Allah Allahoo Tu Hi Mujda e Rehmat Hai Tu Hi Navid e Himmat Hai Aas Hai Sab Ke Dil Ki Tu Allah Allah Allahoo Roknewala Kaun Tuje Toknewala Kaun Tuje Qadir e Mutlab Hai Bas Tu Kaun Tuje Tu Hi Izzat Deta Hai Tu Hi Zillat Deta Hai Sehrat Se Nazdik Hai Tu Allah Allah Allahoo Zate Nabi Hau Aks-a Tera Teri Sada Unki Nawa Noor e Nabi Ki Asla Hai Tu Allah Allah Allahoo Tera Nimaya Noor Bhi Hai Har Shay May Masdur Tera Hi Jalwa Hai Har Soo Allah Allah Allahoo Khalid Per Ye Aur Karam Apne Karam Se Rakh Le Bharam Jurmo Khata Hai Iski Khoo Allah Allah Allahoo |
Posted 27 January 2008 - 03:01 AM (#237)
Usey say hai Islam ka bola bala
Woh Nabiyon Main Rehmat laqab panay wala
Usey say hai Islam ka bola bala
Woh sar chashmai noor-e-fathghay mubeen hai
Wohi mash anayra hay azmo yakeen hai
Usey say hamaray dilon main ujala
Usey say hai Islam ka bola bala
Woh Nabiyon Main Rehmat laqab panay wala
Usey say hai Islam ka bola bala
Usey kay yeh gham par hai ahsaan saray
Kadam manzelaain chomtey hain hamaray
Usey nain andhayron say ham ko nikala
Usey say hai Islam ka bola bala
Woh Nabiyon Main Rehmat laqab panay wala
Usey say hai Islam ka bola bala
Sahara diya us kay naqshey qadam nain
Usey kee tawajo usey kay kadam nain
Zamanain kay girtay houon ko sanbhala
Usey say hai Islam ka bola bala
Woh Nabiyon Main Rehmat laqab panay wala
Usey say hai Islam ka bola bala
Usey kee mohabat hai iman-e-kamil
Usey say mila hum ko irfan-e-manzil
Usey nain hamain jada-e-haq pay dala
Usey say hai Islam ka bola bala
Woh Nabiyon Main Rehmat laqab panay wala
Usey say hai Islam ka bola bala
Sahara diya us kay naqshey qadam nain
Usey kee tawajo usey kay kadam nain
Zamanain kay girtay houon ko sanbhala
Usey say hai Islam ka bola bala
Usey kee mohabat hai iman-e-kamil
Usey say mila hum ko irfan-e-manzil
Usey nain hamain jada-e-haq pay dala
Usey say hai Islam ka bola bala
Woh Nabiyon Main Rehmat laqab panay wala
Usey say hai Islam ka bola bala
Posted 31 January 2008 - 05:24 AM (#238)
Posted 31 January 2008 - 10:30 AM (#239)
As-Salamu-Alaikum
I am looking for the lyrics for the naath, Ghum Sabhi Raahato Taskeen Meh Dhal Jaati Heh...
If any1 has it, please post it
Shukran
Posted 10 February 2008 - 04:13 PM (#240)
could you please give me the actual naat to this lyrics
tanxz
xxx


Help
RSS Feed









