Lyrics of naat-e-rasool post your favourite naat lyrics here
Posted 24 August 2007 - 11:47 AM (#81)
Jab se qadam pare hai risalat ma'aab ke Jannat se bar geya hai Madina huzoor ka Har zara zara apni jagga ma'ahataab hai Kya jagma'ga raha hai Madina huzoor ka Qudsi bhi chumthe hai addab se yahan ki khaaq Qismat mein jhometha hai Madina huzoor ka Ho naaz kyoun na is ko Neyazi naseeb par Jis ko bhi mil geya hai Madina huzoor ka
Aaqa Teri Baat Karte Karte,
Sheher Main Me Aao,
Aaqa Teri Naat Parte Parte
Posted 24 August 2007 - 11:49 AM (#82)
Amal kaam aya mehshar me, na taqwa kaam aya
Agar kuch kaam aya, to Durood aya Salaam aya
Mili aankhaun ko thandak, aur sukoon e dil tamaam aya
Muhammad Mustafa
ka jab kabhi hontaun pe naam aya
Shabe Milaad Anwaar e Mustafa
ke khair maqdam ko
Idhar Ghare Heera aya, udhar Bait e Haram aya
Durood aisa waseelah hai, ke har maqsad bar ajae
Yeh sauda naqd ghar baithe, hamay kya sasta daam aya
Huwa hargiz na dil mael, kisi mina wa saghar par
Magar dil agaya jab, saamne kausar ka jaam aya
Tasha'hud me hi kyun tujh ko, namazi kaif hai itna
Agar chay Sajdah bhi aya, Ruku aya Qayaam aya
Hai kehne me bhi yeh Naam e Muhammad
, kis qadar shireen
Chimat jatay hai dono lab, Muhammad
ka jo Naam aya
"Ana Basharum" Shariat hai, Tariqat "Aiyukum Misli"
Samajh me kuch na, Raaz e Azmate Khairul Anaam aya
Salaam AQA pay padhne se, gurezaan kyun hai kuch ahbaab
Qur'an me jab ke Hukum e "Sallimu" bil iltizaam aya
Buland awaaz "Labbaik" Rawa Kabah hai lekin
Yahaan "La Tarfaoo Aswatakum" ka ab maqaam aya
Madina jane walaon ki suna hai fehrist banti hai
Zara lena khabar iss me kaheen apna bhi naam aya
Pukare Ahle Mehshar dekhte hi Sufi Azam ko
Shafi'il Muznibeen ka ghaliban koee ghulaam aya
Aaqa Teri Baat Karte Karte,
Sheher Main Me Aao,
Aaqa Teri Naat Parte Parte
Posted 31 August 2007 - 02:39 PM (#84)
Aaqa Teri Baat Karte Karte,
Sheher Main Me Aao,
Aaqa Teri Naat Parte Parte
Posted 31 August 2007 - 02:46 PM (#85)
Karam Ki Jab Nazar Hogi, Madiney Ham Bhi Jai ge
Agar Jaana Madiney Mei Huwa, Gham Ke Maaro Ka
Gumbade Khazra Ko Haale Dil Sunaaei Ge
Qasam Allah Ki Hoga Woh Manzar Deed Ke Qaabil
Qiyaamat Mai Rasoolallah Jab Tashrif Laaei Ge
Gunahgaaro Mei Khud Aake Shaamil Paarsa Ho Ge
Shafiye Hashr Jab Daamaane Rehmat Mei Chupaay Ge
Ghame Ishqe Nabi Se Hoga Jab Maamoor Dil Nayyar
Tere Jhurmat Qade May Bhi Sitaary Jagmagaay Ge
Aaqa Teri Baat Karte Karte,
Sheher Main Me Aao,
Aaqa Teri Naat Parte Parte
Posted 31 August 2007 - 02:49 PM (#86)
(4)Naik kab ay meray Allah
banoonga Ya Rabb
(2)Kab gunahoon kay mar'az se shifa paonga
Moula.. kab gunahoon kay mar'az se shifa paonga
kab mein bemaar Madine ka banoonga Ya Rabb
(2)Qabr mein gar na Muhammad
kay nazarey hongeyMoula.. Qabr mein na Muhammad
kay nazare hongeyHashar tak kaisey mein phir tanha rahoonga Ya Rabb
(2)Gar teray pyare ka Roza na rahey pesh'ay nazar
Moula.. gar teray pyare ka Roza na rahey pesh'ay nazar
sakhtiyan nazz'ha ke qun kar sahoonga Ya Rabb
(2)Nazz'ha kay waqt mujhey jalwa-e-Mehboob
dekhnaMoula.. Nazz'ha kay waqt mujhey jalwa-e-Mehboob
dekhnayeh karam karde toh mein shaad marunga Ya Rabb
(2)Affawu kar aur sada kay leye razi hoga
Moula.. Affawu kar aur sada kay leye razi hoga
yeh karam karde toh mein shaad marunga Ya Rabb
(2)Dard-e-sar ya bukhaar aye toh tarap jata hun
Moala.. dard-e-sar ya bukhaar aye toh tarap jata hun
mein Jahannum ki saza kaisey sahoonga Ya Rabb
(2)Izn se teray sar-e-hashar kahen kash Huzoor
Moula.. Izn se teray sar-e-hashar kahen kash Huzoor
Saat Attar kay Jannat mein rakoonga Ya Rabb
(2)Kab gunahoon se kinara karoonga Ya Rabb
(4)Naik kab ay meray Allah
banoonga Ya Rabb
(2)
Aaqa Teri Baat Karte Karte,
Sheher Main Me Aao,
Aaqa Teri Naat Parte Parte
Posted 04 September 2007 - 01:44 PM (#87)
Posted 17 April 2008 - 10:50 AM (#88)
| Amina Ka laal Aaya |
|
Amina Ka laal Aaya, Amina Ka laal Aaya Agaya woh noor wala, jis ki uchi shaan hai, jis ki midhat main hi utara ye saara Quran hai, Amina Ka laal Aaya, Amina Ka laal Aaya Ho bayan kaise fazeelat Amina ke chand se, Us ki to har har ada par bolta Quran hai, Amina Ka laal Aaya, Amina Ka laal Aaya Jo kaha mere nabi ne woh hamesha sach howa, ho bahoo tasleem karta aaj sciencedaan hai, Amina Ka laal Aaya, Amina Ka laal Aaya Amina tuj ko mubarak tere ghar jalwa figan, Aaj woh mah he risalat nabiyun ka sultan hai, Amina Ka laal Aaya, Amina Ka laal Aaya |
Aaqa Teri Baat Karte Karte,
Sheher Main Me Aao,
Aaqa Teri Naat Parte Parte
Posted 17 April 2008 - 10:58 AM (#89)
| Darpesh Ho Taiba Ka Safar Kaisa Lage Ga |
|
Darpesh ho taiba ka safar kaisa lage ga Guzrain jo wahan shaam o sehar kaisa lage ga Ae kash madine main mujhe maot youn aye Kadmoon main ho sarkar (SAW) ke sar kaisa lage ga Ae pyare khuda dekhoon main sarkar ka jalwa Mil jaye dua to jo asar kaisa lage ga Allah (SWT) karam aisa kare tujh peh jahan main Ae dawat-e-islami teri dhoom machi ho Aaqa ka ghada hoon ae jahanum tu bhi sun le Wo kaise jalle jo ke ghullam-e madni ho Ae kash main ban jaoon madine ka musafir Phir rothi huwi taiba ko baraat challi ho Jab door se hai itna haseen gumbad-e-hazra Iss paar ye aalum hai udhaar kaisa lage ga Aa jayen mere ghar main agar rehmat-e-aalim Main kesa lagoon ga mera ghar kesa lage ga Taiba ki saadath to youn pathe hain hazaroon Murshid ka saath ho jo safar kaisa lage ga Payee Munawar ne kazza dar pe Nabi (SAW) ke Aajaye watan aesi habbar kaisa lage ga. |
Aaqa Teri Baat Karte Karte,
Sheher Main Me Aao,
Aaqa Teri Naat Parte Parte
Posted 17 April 2008 - 11:00 AM (#90)
| Madina Sohna Eh |
|
Madina sohna eh jithe sohne ne derre laye Sadke main onna tho jerrhe wekh madina aye Madina sohna eh, insha'alla othe jana Sunehri jalian noo assan chum chum seene lana Madina sohna eh, ki odhi sift sunawan Sohna sadh le je main lakh lakh shukar manava Madina sohna eh, payee rehmat tahtah marre Gumbad-e-hazra de chalo wekhieh paak nazaare Madina sohna eh, paeyan sare jaag te thuma Noori noori roze dee main har ik cheez nu chuma Madina sohna eh, othe chamkda noor-e-illahi Rehmatha wala eh mera sohna arabi mahi Madina sohna eh, hooran arsh tu wekhan aeya Kamli walle diyan rab shanan aap wadhayan Madina sohna eh, main akhan lakh lakh wari Authe mar jawan jithe wasde habib-e-barri Madina sohna eh, sab aakhiya nabiyan waliyan Chum lawan thawan oh jithe layan nabi ne talliyan Madina sohna eh, jithe rehmat rab dee barse Madina wekhan nu payee sari dunyan tarse! Madina sohna eh, assan wekhan bajh nahyei jeena Athroo nahyei rukde jadoon ounda yaad madina Madina sohna eh, sohna eh madine walla Kalliyan zulfah ne nalle kamli da rang eh kalla Madina sohna eh, tummah gulshan jag te paiya Kafille tur gai ne main sohniya takhdi raiyan |
Aaqa Teri Baat Karte Karte,
Sheher Main Me Aao,
Aaqa Teri Naat Parte Parte
Posted 10 January 2009 - 06:19 PM (#91)
Hope you're all in good Health and Imaan
I need a few Manqabat of Hazrat Imam Hussain (A.H) urgently
Plz reply as soon as possible
Allah Hafiz
Posted 11 January 2009 - 08:58 AM (#92)
Here are two brilliant Manqabats by Hafiz Tahir Qadri:
http://www.4shared.c...Kahani_Hai.html
http://www.4shared.c...sain_Salam.html
Marnay Kay Baad Ka Yunh, Kuch Intizam Kar Ja
Posted 17 January 2009 - 08:16 PM (#93)
MASHIATE HAQ E ANWAAR SE JIS GAREE
NOOR E HAQ SE MUHAMMAD BANAYA GAYAA
PHIR USI NOOR KI JALWATON KE TUFAIL
BAZM E KON O MAKAAN KO SAJAAYA GAYAA
WO IYAAN HOGAYAA MISLE KUM HOGAYAA
GOYA TAKHLEEQ E ARZ O SAMAA HOGAYAA
BEHT E DARYA O KOSAAR JARNE BANE
ZARRE ZARRE MAI USKO BASAYA GAYA
MAHAKA NOOR TAARON KI ZUPAASHIYAN
CHEHRA E USKUFE NOOR KI LAALIYAN
UNKI ZULFON SE RAATEIN BANAAI GAA'IN
UNKE ANWAAR SE DIN SAJAAYA GAYAA
GUL KI RAANAA IYAN MAA KI TAABANIYAN
AAKHARI SHAB MAI TAARON KI ANGRAAIYAN
SAB KI SAB HUWI MUHTAAJ US NOOR KI
ROZE AWWAL SE JIS KO BANAYA GAYA
GUNGUNA UTHI BAAD E SABA HOSH MAI
CHEHCHA AA UTTHE SAARE PARIND JOSH MAI
SALLALLAH U ALAIHI WASALLAM ALAIH
SAARE KONO MAKAAN KO PARHAAYA GAYA
KEHKASHA BICH GAEE NOOR SA CHAT GAYA
DHOOM ARSH E MUALLAH MAI KYA MACH GAYA
SAAZ E ULFAT CHIRA HAQ KE MIZRABON PE
SHAB E MIRAAJ UNKO BULAYA GAYAA
NAAT SUN KE YE ASIF KISE HOSH HAI
SAARA AALAM JO DAIKHO TO MADHOSH HAI
HOSH GOBI RAHE HOSH MUMKIN NAHI
KISRA MEHBOOB E AALAM SUNAAYA GAYA
YANABI SALAM ALAIKA
YARASUL SALAM ALAIKA
YA HABIB SALAM ALAIKA
SALAWAT ULLAH ALAIKA
Posted 23 February 2009 - 06:00 PM (#94)
Apne daaman-e-shaafat pei chupaye rakhna
Mere Sarkar meri baat banaye rakhna
Un ke ho jao to har cheez unni se mango
Apne daaman pei na ahsaan baraye rakhna
Zara ae khaak ko Khursheed banane wale
Khakoun ne mujhe qadmoun se lagaye rakhna
Un ke aane ki gari hai wo hai aane wale
Mere Sarkar ki mehfil ko sajaye rakhna
App yaad aye to phir yaad na aye koyi
Ghair ki yaad mere dil se bulaye rakhna
Main ne mana ke nikamma houn magar app ka houn
Is nikamme ko bhi Sarkar nibaye rakhna
Aur jab sawaneze pei khursheed Qayamat aye
Apni zulfoun ke ghunagaar pei saye rakhna!!
App ki yaad mein a'abaad kiya mujh ko
Bana par war meri hastii ko basaye rakhna
Posted 06 March 2009 - 06:44 PM (#95)
Quote
can you please post the lyrics of ye kis shehenshah e wala ki aamad aamad hai
Asallam alaikum..
plzzz can any islamic brother or sister try posting the above lyrics a s a p..
jazakAllah khairan..:)
Posted 06 March 2009 - 07:46 PM (#96)
Quote
Quote
can you please post the lyrics of ye kis shehenshah e wala ki aamad aamad hai
Asallam alaikum..
plzzz can any islamic brother or sister try posting the above lyrics a s a p..
jazakAllah khairan..:)
Wasalaam,
http://www.yanabi.co...ght=naat+lyrics
page 6 and scroll down
Posted 07 March 2009 - 03:56 PM (#97)
Quote
Quote
Quote
can you please post the lyrics of ye kis shehenshah e wala ki aamad aamad hai
Asallam alaikum..
plzzz can any islamic brother or sister try posting the above lyrics a s a p..
jazakAllah khairan..:)
Wasalaam,
http://www.yanabi.co...ght=naat+lyrics
page 6 and scroll down
Asallam alaikum sister,....da above link isnt workin...wel its not comin up...
plzz can u or som1 try postin it a s a p....JazakAllah kahiran..
Posted 08 March 2009 - 01:43 AM (#98)
Yah Kis Shahnsha Ki Aamad Aamad Hai
Contributed By King Khan
Yah Kis Shahnsha Ki Aamad Aamad Hai [2x]
Bolo Marhaba Bolo Marhaba
Ya Kaun Say Shaha Wala Ki Aamad Aamad Hai [2x]
Bolo Marhaba Bolo Marhaba
Sarkar Ki Aamad Marhaba, Sardar Ki Aamad Marhaba,
Huzoor Ki Aamad Marhaba, Aaqa Ki Aamad Marhaba
Bolo Marahaba Bolo Marahaba [4x]
Yah Aaj Tara Zamee Ki Taraf Hai Q Maail [2x]
Yah Asmaan Say Payham Hai Noor Q Nazil
Yah Kis Shahnsha Ki Aamad Aamad Hai
Ya Kaun Say Shaha Wala Ki Aamad Aamad Hai
Bolo Marahaba Bolo Marahaba [4x]
Yah Aaj Kiya Hai Zamana Nay Rang Badla Hai [2x]
Yah Aaj Kiya Hai Kay Alam Kay Dhang Badla Hai
Yah Kis Shahnsha Ki Aamad Aamad Hai
Ya Kaun Say Shaha Wala Ki Aamad Aamad Hai
Bolo Marahaba Bolo Marahaba [4x]
Sarkar Ki Aamad Marhaba, Sardar Ki Aamad Marhaba,
Huzoor Ki Aamad Marhaba, Aaqa Ki Aamad Marhaba
Bolo Marahaba Bolo Marahaba [4x]
Yah Aaj Kahai Ki Shaadi Hai Arsh Q Jhooma [2x]
Lab-e-Zameen Ko Lab-e-Asmaa Q Chuma
Yah Kis Shahnsha Ki Aamad Aamad Hai
Ya Kaun Say Shaha Wala Ki Aamad Aamad Hai
Bolo Marahaba Bolo Marahaba [4x]
Rasool Unhi Kay Toh Mujhda Sunanay Aaya Hai [2x]
Inhi Kay Aana Ki Khushiya Manana Aaya Hai
Yah Kis Shahnsha Ki Aamad Aamad Hai
Ya Kaun Say Shaha Wala Ki Aamad Aamad Hai
Bolo Marahaba Bolo Marahaba [4x]
Sarkar Ki Aamad Marhaba, Sardar Ki Aamad Marhaba,
Huzoor Ki Aamad Marhaba, Aaqa Ki Aamad Marhaba
Bolo Marahaba Bolo Marahaba [4x]
Feerista Aaj Jo Dhooma Machanay Aaya Hai [2x]
Inhi Kay Aana Ki Shaadi Rachana Aaya Hai
Yah Kis Shahnsha Ki Aamad Aamad Hai
Ya Kaun Say Shaha Wala Ki Aamad Aamad Hai
Bolo Marahaba Bolo Marahaba [4x]
Yah Seeda Rasta Haq Ka Batana Aya Hai [2x]
Ya Haq Kay Bando Ko Haq Say Milanay Aaya Hai
Yah Kis Shahnsha Ki Aamad Aamad Hai
Ya Kaun Say Shaha Wala Ki Aamad Aamad Hai
Bolo Marahaba Bolo Marahaba [4x]
Sarkar Ki Aamad Marhaba, Sardar Ki Aamad Marhaba,
Huzoor Ki Aamad Marhaba, Aaqa Ki Aamad Marhaba
Bolo Marahaba Bolo Marahaba [4x]
Sunogay La Na Zaban-e-Karim Say Noori [2x]
Yah Faiz-o-Jood Kay Dariya Bahana Aaya Hai
Yah Kis Shahnsha Ki Aamad Aamad Hai
Ya Kaun Say Shaha Wala Ki Aamad Aamad Hai
Bolo Marahaba Bolo Marahaba [4x]
Sarkar Ki Aamad Marhaba, Sardar Ki Aamad Marhaba,
Huzoor Ki Aamad Marhaba, Aaqa Ki Aamad Marhaba
Bolo Marahaba Bolo Marahaba [4x]
it's best to use the search function as there are many naat lyrics already provided.
Posted 10 September 2009 - 01:13 AM (#99)
I need the lyrics for YA RASOOL ALLAH KARAM & YA RABBI YA RABBI by MOHAMAMD SAJID QADRI.
And also HABIBI YA HABIBI by NISAR AHMED MARFANI.
http://www.yanabi.co...1.aspx#bm310682 (MOHAMAMD SAJID QADRI New Album)
YA RASOOL ALLAH KARAM -http://www.4shared.com/file/90556754/8ca6fe98/Ya_Rasool_Allah_Karam.html
YA RABBI YA RABBI - http://www.4shared.c...i_Ya_Rabbi.html
HABIBI YA HABIBI -
Posted 13 October 2009 - 09:58 AM (#100)
And Dil aithai niyu lakda yaar chaliya shehar madina nu?
Mukh Chand Badar Sha Shani Hai
Mathai Chamkai Laat Nurani Hai
Kali Zulf tai Akh Mastani Hai
Mahmuur Akhiya in Madbaryaan
Pir Mehr Ali Shah Saab Golravi R.A.


Help
RSS Feed










