Lyrics of naat-e-rasool post your favourite naat lyrics here
Posted 15 September 2006 - 11:08 AM (#21)
Na Rab ne banaya he na Rab ne banona ay
Wekho ji her ik shay tay peya Noor baresda ay
Lagda ay hone athey Sarkar ne Aona ay
Ungli nu Utanday ne pae chand no hilonday
So Rab de ay Chand Falky Aaqa da khidona ay
Ji karda ay mar jawaan jis din da ay sunya ay
Wich Qabr de Aaqa ne Didar krona ay
Munkir othun nas jande Mushkil ich Phas janday
Ay Sunni jadun wi tu Na'ra e Haidry landa ay
Koi sarda ay sar jawe koi marda ay mar jawe
Sunniyan ne te Guj Wuj ke Milad manona ay
Sarkar jeya Sohna Aya he na ona he
Na Rab ne banaya he na Rab ne banona ay
Aaqa Teri Baat Karte Karte,
Sheher Main Me Aao,
Aaqa Teri Naat Parte Parte
Posted 15 September 2006 - 11:09 AM (#22)
Zikr é Nabi tu karta jaa
Zikr é Nabi tu karta ja
Yé zikr barah anmolAka Aka bol bandéh Aka Aka bol Aisaa din bi aa jaé Sarkaar ké dar pé bétéh ho
Sarkaar ké dar pé bétéh ho
Lab hamosh zabaan ban jaé
Aansoo arza karté ho Aisaa din bi aa jaé Sarkaar ké dar pé bétéh ho
Sarkaar ké dar pé bétéh ho
Lab hamosh zabaan ban jaé
Aansoo arza karté hoUn ké dar pé roné waalé
Un ké dar pé roné waalé
Dil sé kuch to bolAka Aka bol bandéh Aka Aka bol Sarkaar é Do Alam Pyaaré Aka
Jidar sé guzraa karté té
Shajr gawaahi détéh té
Aur pathar kalima partéh té
Pathar kalima partéh téSarkaar é Do Alam Pyaaré Aka
Jidar sé guzraa karté té
Shajr gawaahi détéh té
Aur pathar kalima partéh té
Pathar kalima partéh téNoor é Khuda ké Munkir ab to
Noor é Khuda ké Munkir ab to
Ab apni aankhé kolAka Aka bol bandéh Aka Aka bolAow chalo deewano saaréh shayr é Madinah chalté hai
Shayr é Madinah chalté haiMéri kya aukaad hai sab hi un ké dar say paltay hai
un ké dar say paltay hai Aow chalo deewano saaréh shayr é Madinah chalté hai
Shayr é Madinah chalté haiWoh Madina jo Konein ka taaj hai
Jis ka deedar momin ki Me'raaj haiZindagi mai Khuda har Musalmaan ko
Woh Madinah dika dé to kya baat haiAow shayr é Madinah chalté hai
Shayr é Madinah chalté haiPir Karm ho gya mai Madinéh chala
Joomta joomta mai Madinéh chalaMéré Aka ka dar ho ga péshé nazar
Méré Aka ka dar ho ga péshé nazar
Chahiyé aur kya mai Madiné chalaUn kay Minaar par Gumbad é Sabz par
Minbar é Noor par jab uté gi nazar
Kya suroor ayé ga mai Madinéh chalaAow shayr é Madinah chalté hai
Shayr é Madinah chalté haiAow chalo deewano saaréh shayr é Madinah chalté hai
Shayr é Madinah chalté haiMéri kya aukaad hai sab hi un ké dar say paltay hai
un ké dar say paltay hai
Ghairo ko bi déthé haiLong
Ghairo ko bi déthé hai
Woh bin maangé bin molAka Aka bol bandéh Aka Aka bolJab sé hosh sambaala hai mai unki Naat é partha hu
unki Naat é partha hu
Gustaahi na ho jaé mai sambal sambal ké chalta hu
sambal sambal ké chalta hu
Maa ki du'a o ka sadqa hai Long
Maa ki du'a o ka sadqa hai
Aisa mila maholAka Aka bol bandéh Aka Aka bolRashid naat é likhna parna hai yé barah aizaar
hai yé barah aizaar
Un key karm ké sadqéh hi se unchi hé parwaar
unchi hé parwaarNaat é Nabi tu sunaé ja
Naat é Nabi tu sunaé ja
aur kaano mai ras gol
Sal Allahu Alaihi wassalam
Aaqa Teri Baat Karte Karte,
Sheher Main Me Aao,
Aaqa Teri Naat Parte Parte
Posted 15 September 2006 - 11:09 AM (#23)
A'la Habibi ka Khayril Khalqi Kullihimi
Alhumdo Lillaahe Munshil Khalqe Min Adami
Shum Mas Salaato Alal Mukhtaare Fil Qadami
Muhammadun Sayyedul Kawnaïni Wa-thaqalaïni
Wal Fareeqaïni Min Urbiw Wa Min Ajami
Amin Tazak Kore Jiraanim Bezi Salaami
Mazajta Dam-An Jara Mim Muqlatim Bedami
Fama Le Ay Nay Ka In Qultak Fofa Hamata
Wama Le Qalbe Ka Inna Qultastafiq Yahemi
Fa Kayfa Tunkero Hubbam Ba'ada Ma Shahedat
Behi Alayka Udulud Damaey Was Saqami
Astagferul-Laaha Min Qawlim Bela Amaalin
Laqad Nasabto Behi Naslal Lezi Ooqomi
Nabiyyonal Aameerun Naahi Falaa Ahadunn
Abarra-Fi Qawli La Minhu Wa laa Na'Aami
Huwal Habibul-Lazi Turja Shafaa'-Atohu
Li Kulli Hawlim-Minal Ahwaali Muqtahimi
Da'aa Ilal Laahee Fal Mustamsi Kuna Bihi
Mustamsi Kuna Be Habli Ghaïrinn Munfaswimi
Kaz Zahre Fi Tarafin Wal Badre Fi Sharafin
Wal Bahre Fi Karamiw Wad Dahre Fi Hemami
Ya Akramal Khalqe Maliman Aluzo Behi
Siwa Ka Inda Hululil Hadesil Amami
Wal Aale Was Sahbe Summat Tabe-Eena Lahum
Ahlittoka Wannoka Wal Hilmi Wal Karami
Summar Rida An Abi Bakrinw Wa An Umarinw
Wa An Usmana Wa An Aliyyiw Zil Karami
Faqann-Nabeeyena Fi Khalqinw-Wafi Khulukinn
Wa Lam Yuda Nouhou Fil Ilminw-Walaa Karami
Faghfir Lana Shidiha Waghfir Li Qari-Iha
Sa'Al Tukal Khaïra Ya-Zal Judi Wal Karami
Ya Rabbi Bil Mustafa Balligh Maqasedana
Waghfir Lana Ma Madwaya Wasi Al-Karami
Aaqa Teri Baat Karte Karte,
Sheher Main Me Aao,
Aaqa Teri Naat Parte Parte
Posted 15 September 2006 - 11:12 AM (#24)
PHIR TO KHALWAT MEIN AJAB ANJUMAN AA RAAEEY HO
AASITAANAA PAY TEREY SAR HO AJAL AAEY HO
AUR AY JAAN JAHAAN TOO BHEY TAMAASHAAEY HO
KHAAKH PAAMAAL GHAREYBAAN KO NA KYOON ZINDAA KARAY
JIS DAAMAAN KEY HAWAA BAD E MASEEHAAEY HO
US KEY QISMAT PAY FIDAA TAKHT SHAAHEY KEY RAAHAT
KHAAKH E TAIBAH PAY JISAY CHAIN KEY NEEND AAEY HO
TAAJ WAALO KEY KHWAAISH HIEN KAY UN KAY DAR PAR
HUM KO HAASIL SHARF E NAASIYAA FARSAAEY HO
BAND JAB KHWAAB E AJAL SAY HOON HASAN KEY AANKHEIN
US KEY NAZRON MEIN TERA JALWAAEY ZAYBAAEY HO
Aaqa Teri Baat Karte Karte,
Sheher Main Me Aao,
Aaqa Teri Naat Parte Parte
Posted 15 September 2006 - 11:14 AM (#25)
PHIR TO KHALWAT MEIN AJAB ANJUMAN AA RAAEEY HO
AASITAANAA PAY TEREY SAR HO AJAL AAEY HO
AUR AY JAAN JAHAAN TOO BHEY TAMAASHAAEY HO
KHAAKH PAAMAAL GHAREYBAAN KO NA KYOON ZINDAA KARAY
JIS DAAMAAN KEY HAWAA BAD E MASEEHAAEY HO
US KEY QISMAT PAY FIDAA TAKHT SHAAHEY KEY RAAHAT
KHAAKH E TAIBAH PAY JISAY CHAIN KEY NEEND AAEY HO
TAAJ WAALO KEY KHWAAISH HIEN KAY UN KAY DAR PAR
HUM KO HAASIL SHARF E NAASIYAA FARSAAEY HO
BAND JAB KHWAAB E AJAL SAY HOON HASAN KEY AANKHEIN
US KEY NAZRON MEIN TERA JALWAAEY ZAYBAAEY HO
Aaqa Teri Baat Karte Karte,
Sheher Main Me Aao,
Aaqa Teri Naat Parte Parte
Posted 15 September 2006 - 11:15 AM (#26)
JHOLEY MEIN AGHAR TUKRAY TUMHAARAY NAHIN HOTAY
DAAMAAN E SHAFAA'AT MEIN HUMEIN KAUN CHUPAATAA
SARKAAR AGHAR AAP HUMAARAY NAHIN HOTAY
MILTEY NA AGHAR BHEEKH HUZOOR AAP KAY DAR SAY
US T'H'AATH SAY MANGTO KAY GUZAARAY NAHIN HOTAY
BAY DAAM HEY BHIKH JAAEY BAAZAAR E NABI MEIN
US SHAAN KAY SODAY MEIN KHUSAARAY NAHIN HOTAY
YEH NISBAT E SARKAAR KA EJAAZ HEIN WARNAA
TOOFAAN SAY NAMOODAAR KINAARAY NAHIN HOTAY
KHALID YEH TASADUQ HEIN FAQAT NAAT KA WARNAA
MEHESHAR MEIN TEREY WAARAY NIYAARAY NAHIN HOTAY
Aaqa Teri Baat Karte Karte,
Sheher Main Me Aao,
Aaqa Teri Naat Parte Parte
Posted 15 September 2006 - 11:16 AM (#27)
Sun kar Woh mujhay paas bulaein tho ajab kya
Deedar key qabil tho kahan meri nazar hai
Deedar key qabil tho nahi chashme tamana
Leykin Woh kabhi khwaab mey aaein tho ajab kya
Un par tho gunahgaar ka sab haal khula hai
Iss par bhi Woh daman mey chupaein tho ajab kya!
Mey aysa khatakaar hun mujhay had bhi nahi hai
Phir bhi meray aybon ko chupaein tho ajab kya!
Hasil jinaein Aqa ki ghulami ka sharaf hai
Toh kar sey Woh murdoN ko jilaein tho ajab kya
MuNh dhanp key rakhna keh gunahgaar bohot huN
Mayath ko meri deykhney aein tho ajab kya
Nah zad-e-safar hai nah koi kaam bhaley hein
Leykin mujhay Sarkar bulaein tho ajab kya
Woh husn-e-do alam hein Adeeb Un key Karam sey
sehra mein agar phool khilaein tho ajab kya
Aaqa Teri Baat Karte Karte,
Sheher Main Me Aao,
Aaqa Teri Naat Parte Parte
Posted 15 September 2006 - 11:20 AM (#28)
Tere hote jannam liya hota
Phir kabhi to tujhey milla hota
Kaash main sang-e-Dar Tera hota
Tere qadmoun ko chuumta hota
Tu chala karta meri palko par
Kaash main tera raasta hota
Zarra hota main teri raho ka,
Teri talwoh ko chuu liya hota
Larta phirta main Tere adaa se
Teri khaatir main marr geya hota
Tere mazkan ke gird shaam-o-sahar
Ban ke mangta main phir raha hota
Hai to Tahir tere fakiro mein
Teri tahliz par khara hota
Aaqa Teri Baat Karte Karte,
Sheher Main Me Aao,
Aaqa Teri Naat Parte Parte
Posted 15 September 2006 - 11:25 AM (#29)
Aaya hay Bulava mujhe Darbar-e- Nabi (sallallahu alaihi wassalam) say
Her aah gaee arsh peh, yeh aah kee Qismat,
Her ashk peh ik khuld hay her ashk kee Qeemat,
Tohfa yeh mila hay mujhe Sarkar-e-Nabi sallallahu alaihi wassalam) say,
Aaya hay Bulava mujhe Darbar-e-Nab sallallahu alaihi wassalam) say.
Bhatee naheen hamdam mujhe jannat kee javanee.
Sunna naheen Zahid mujhe Hooron kee kahanee.
Ulfat hay mujhe Saaya-e- Deevar-e-Nabi (sallallahu alaihi wassalam) say.
Aaya hay Bulava mujhe Darbar-e-Nabi (sallallahu alaihi wassalam) say.
Irfan kee kasak, khulq kee maye, sabr ka saaghar,
kia lutf mila kerta hay jo daite hain Sarvar,
yeh poochhay koi aa ke Beemar-e-Nabi ( sallallahu alaihi wassalam) say.
Aaya hay Bulava mujhe Darbar-e-Nabi (sallallahu alaihi wassalam) say,
Paigham Saba layee hay yeh Gulzar-e-Nabi (sallallahu alaihi wassalam) say.
Aaya hay Bulava mujhe Darbar-e-Nabi (sallallahu alaihi wassalam) say.
Aaqa Teri Baat Karte Karte,
Sheher Main Me Aao,
Aaqa Teri Naat Parte Parte
Posted 15 September 2006 - 03:48 PM (#30)
Dilo jaan unpar nisaaraa karoon mein
Mujhe apni rehmat se to apna karle
Siwa Tere sab se kinaaraa karoon mein
Mein kyoon ghair ki thokare khane jawoon
Tere Dar se apna guzaaraa karon mein
Khudara ab aawo ke dam he labo par
Dame wapasi to nazaara karoon mein
Tere Naam par sar ko qurbaan kar ke
Tere sar se Sadqaa utaara karoon mein
Yeh ek Jaan kya hai agar ho karoro
Tere Naam par sab ko waaraa karoon mein
Tera Zikr lab par khuda dil ke andar
Yunahi zindagani guzaaraa karoon mein
Dame wapasi tak tere geet gaoon
Muhammad Muhammad phukaaraa karoon mein
Tere dar ke hote kahan jawoon pyare
Kahan apna daaman pasaaraa karoon mein
Mera Deen-o-Imaan Firishte jo pooche
Tumhari hi jaanib ishaaraa karoon mein
Khudaa aisi kuwat de mere qalam mein
Ke Bad-Mazhabon ko sudhaaraa karoon mein
Khudaa kher se laye woh din bhi Noori
Madine ki galiyan bohaaraa karoon mein
Aaqa Teri Baat Karte Karte,
Sheher Main Me Aao,
Aaqa Teri Naat Parte Parte
Posted 15 September 2006 - 03:49 PM (#31)
hum bhi bebas nahi be sahara nahi
khod onhi ko pokareN ge hum dor se
raste me aghar paoN thak jay ge
Hum madine me tanha nikal jay ge
aur galioN me qasdan bhatak jay ge
hum vaha ja kar vapas nahi ae ge
dhondhate dhondhate log thak jay ge
Jaise hi sabz gomband nazar ay ga
bandagi ka qarina badal jay ga
sar jhokane ki forsat mile gi kisse
khod hi palkon se sajde tapak jay ge
Name aqa jahan bhi lya jay ga
zikar onka jaha bhi kya jay ga
noor hi noor sino me bhar jay ga
sari mehfil me jalwe lapak jay ge
E madine ke sahir Khuda ke lye
dastan e safar mujh ko yoN mat suna
baat barh jae gi dil tarap jae ga
mere mohtat ansoo chalak jay ge
Onki chashm e karam ko he kis ki khabar
kis musafir ko he kitna shoq e safar
hum ko ik bar jab bhi ijazat mili
hum bhi aqa ke darbar tak jay ge
Aaqa Teri Baat Karte Karte,
Sheher Main Me Aao,
Aaqa Teri Naat Parte Parte
Posted 15 September 2006 - 03:56 PM (#32)
Main To Sarkar Tora Deewana
Ab tou Taiba bula lo ja na na
Jaam per jaam ho ata mujh ko
Rahey abaad Tera Maykhaana
Ab tou Taiba bula lo ja na na
Aqa , Tere ghar baar ki ye azmat hya
Aae Jibreel bhi ghulamaana
Ab tou Taiba bula lo ja na na
Bheek lene Tere Madina say
Aate hain baadshah faqeeraana
Ab tou Taiba bula lo ja na na
Aap aae to ka'aba Qibla banna
Warna pehlay tha wo sanam khaana
Ab tou Taiba bula lo ja na na
Jaane waale Hazoor sei kehna
Hijr mei jal raha hay dewaana
Ab tou Taiba bula lo ja na na
Aur baag-e-Panjtan ki khair ho Wasif
Ho salaamat rahay ye Maykhaana
Mein To Sarkar Tora Deewana
Ab tou Taiba bula lo ja na na
Aaqa Teri Baat Karte Karte,
Sheher Main Me Aao,
Aaqa Teri Naat Parte Parte
Posted 15 September 2006 - 03:57 PM (#33)
Jis raah chal gae hain, kooche basa diye hain
Jab agaee hain josh, rehmat pe Unki aankhein
Jalte buja diye hain, rotay haansa diye hain
Ek dil hamara kya hai, azaar iss ka kitna
Tum ne to chalte phirte, murday jeela diye hain
Unke nisaar koee, kaise hi ranj me ho
Jab yaad agae hain, sab gham bhula diye hain
Hum se faqeer bhi ab, phahri ko uthte honge
Ab to Ghani ke dar par, bistar jama diye hain
Anay do ya dubo do, ab to tumhari janib
Kashti tumhi pe chori, langar utha diye hain
Allah kya jahan'nam, ab bhi na sard hoga
Ro ro ke Mustafa ne, darya baha diye hain
Mere kareem se gar, qatrah kisi ne maanga
Darya baha diye hain, dur bay baha diye hain
Mulke sukhan ki shahi, tumko RAZA musal'lam
Jis simt agae ho, sikkay bitha diye hain
Aaqa Teri Baat Karte Karte,
Sheher Main Me Aao,
Aaqa Teri Naat Parte Parte
Posted 15 September 2006 - 03:58 PM (#34)
CHAMAK TUJH SE PAATE
Chamak tujh se paate he sub paane waale
Mera dil bhi chamka de chamkaane waale
Badon par bhi barsa de barsaa ne waale
Gareebon Faqeeron ke thahraane waale
Meri chashme aalam se chup jaane waale
Ke raste me he jaa baja thaane waale
Are sar ka mouqa he au jaane waale
He munkir ajab khaane ghur'raane waale
Pare khaak hojaye jaljane wale
Raza nafs dushman hai dum me na aana
Kahaa tum ne dekhe he chand raane waale
NE'AMATEIN BAANT TA JIS SIMT WOH ZEESHAAN GAYA
Ne'matein baant ta jis simt woh zeeshaan
Saath hi munshiye Rehmat ka qalam daan
Mere Maula mere Aqa Tere qurbaan
Hai woh dil jo tere dar se pur arman
Sar he woh sar jo tere Qadmon pe qurbaan
Lillah hil Hamd mein Duniya se Musalman
Najdiyo Kalmah parhane ka bhi ehsaan
Phir na maanege Qayamat mein agar maan
Tum nahin chalte Raza sara to samaan
Aaqa Teri Baat Karte Karte,
Sheher Main Me Aao,
Aaqa Teri Naat Parte Parte
Posted 15 September 2006 - 03:59 PM (#35)
Sub Eidein manao Huzoor agaye hain
Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain
Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain
Uttho bay saharo chalo gham ke maaro
khabar ye sunao Huzoor agaye hain
Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain
Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain
Anokha niraala woh zee shaan ayaa
Woh saray Rasoolaun ka Sultan ayaa
Aray baadshaho aray kaj kula'ho
Nigahein jhukao Huzoor agaye hain
Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain
Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain
Sama hai sana e Habeeb e Khuda ka
Ye Meelad hai Sarwaray Ambiya ka
Nabi ke gadao sub ek doosre ko
Khabar ye sunao, Huzoor agaye hain
Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain
Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain
Hawaun mein jazbaat hain Marhaba ke
fizaun mein naghmaat Salle'Alla ke
Daroodaun ke gajrey salamaun ke tohfay
Ghulamo sajaao, Huzoor agaye hain
Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain
Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain
Huwaa char su Rahmataun ka ba'sayra
Ujaala ujaala sawera sawera
Halima ko pohnchi khabar Aaminah ki
mere ghar main aao, Huzoor agaye hain
Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain
Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain
Kahaan mai Zahuri kahaan unki batein
Karam hi karam hain ye din aur ratein
Jahaan par bhi jaao dilaun ko jagao
yahi kehte jaao, Huzoor agaye hain
Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain
Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain
Aaqa Teri Baat Karte Karte,
Sheher Main Me Aao,
Aaqa Teri Naat Parte Parte
Posted 15 September 2006 - 04:00 PM (#36)
Mahboob nay aanaa hai rahoon ko sajaanay do
Mushkil ho agar meyra Taybah main abhii jaanaa
Aey baad - e - sabaa merii aa - hoon ko to jaanay do
Mey teri ziyaarat kay qaabil to naheen maanaa
Yaadoon ko shahaa apnii khaabon main to aanay do
Ashkoon kii larhii ko ab tutaney mat deynaa
Aaqa kay liye muj koh kuch haar bananay do
Jo chaaho sazaa deynaa mehbuub kay darbaano
Ik baar to jaalii ko siinaay say lagaanay do
Mahboob kay qaabil yeh alfaaz kahaan saaim
Ashkoon kii zubaan say ab ik naat sunaanay do
Lagta nahin dil mayra ab in weeraanon mayn
Chota sa ghar mujh ko teba mayn bananay do
Roko na mujhay ab to dar e yaar kay darbaano!
Mahboob ki jaali ko seenay say laganay do
Aaqa Teri Baat Karte Karte,
Sheher Main Me Aao,
Aaqa Teri Naat Parte Parte
Posted 15 September 2006 - 04:00 PM (#37)
jaan-o-dil thum par fida aey do jahan key taajdaar
Mey akeyla aur maas'il zindagee key beshumaar
Aap hi kuch kijiey na ey Shahey aali waqar
yaad atha hey tawafe khanaey Ka'ba mujhay
aur lipatna multazam say waley khana bar bar
sange aswad chuum kar milta mujhay keyf-o-saroor
chayn patha deykh kar dil mustajab-o-mustajar
ya Khuda dikhlahathi mey pak mizan woh maqam
aur safa marwa mujhay behray Rasoole zi waqar
ja raha hey kaafila Taiba nagar rotha huwa
mey raha jatha hun thanha aey Habibey kirdgaar
jald phir thum lo bula aur sabz ghumbad do dikha
hazri ki aarzo ney kardiya phir beykaraar
Choom kar khake Madinah jhoomtha phirtha tha mey
yaad athay hey madinay kay mujhay leyl o nahar
Ghumbaday Khazra key jalway aur woh iftariya
yaad athi hey bohoth Ramadhan Taibah ki bahar
Ya Rasulullah sun li jey meri faryaad ko
kown hai jo key sunay teray siwa meri pukaar
Haal par meray karam ki ik nazar farmaey
dil mera ghamgeen hai aey ghamzadon kay ghamgusaar
Kaflay walo suno yaad aey tho mera salam
arz karna rothay rothay ho sakey tho bar bar
ghamzada yun na huwa hotha Obaidey Qadri
iss baras bhi deykhtha ghar sabz Ghumbad ki bahar
Aaqa Teri Baat Karte Karte,
Sheher Main Me Aao,
Aaqa Teri Naat Parte Parte
Posted 15 September 2006 - 04:00 PM (#38)
Mustafa ghulamouen ki Qismatein badalte hai
Siraf sari duniya mein wo hai kochae Ahmad
Jis jaga pei ham jaise khothe sikkhe chalte hai
Rehmatoun ki chadar ke sar pei saye chalte hai
Mustafa ke dewane ghar se jab nikalte hai
Un ko kya zaroorat hai fikar ho mujh ko ambar ki
Khaak jo Madine ki apne sar pei malte hai
Sach hai gheer ka ahsaan ham kabhi nahi lete
Ahh Aaleem Aqa ke ham tukrouen pei chalte hai
Naqsh karley seenay par, naam sarware dee ka
yeh woh naam hai jis say, sab azaab talthay hain
Amina kai paaley ka kali kamli waley ka
jashn ham manathay hai, jalnay waley jalthay hain
ham ko rowz miltha hai, Sadqah kamli waley ka
Mustafah key tukrown par khush naseeb palthay hain
Aaqa Teri Baat Karte Karte,
Sheher Main Me Aao,
Aaqa Teri Naat Parte Parte
Posted 18 September 2006 - 12:46 PM (#39)
Allah nay karam kiya
Ramazan mahina ayaa
Ramazan mahina ayaa
Aj hoya char chaferay
oday noor day barsataan
Hoya noor ta noori chanan
Ramazan deya kya baatan
Rehmat day lut lo khazanay
Rab noori mei barsaya
Ey noori mahina dekho
hoyan noor deyan barsataan
Farsha day ronak isde
Arshaan ton Rehmatan ayaa
Ral mil kay kushiya manao
Ramazan kiya hain saya
Wah qismat umateh Muhammadi (Sallallahu Alaihi Wassalam)
Thenu milgay raat Qadr di
Kisi aur Nabi (Sallallahu Alaihi Wassalam) de ummat thay
Eysi hoi naee Rehmat Rab di
Dar janat day sab khul gay
Rab esa mei barsaya
Ral kushiya manao saray
Allah nay karam kiya
Ramazan mahina ayaa
Ramazan mahina ayaa
Aaqa Teri Baat Karte Karte,
Sheher Main Me Aao,
Aaqa Teri Naat Parte Parte
Posted 18 September 2006 - 12:47 PM (#40)
jo dil se har ek ghair ki chahat ko bhula dey
Bas dekh liya dunya ke rishtaun ka tamasha
maqlooq se umeed ke sab deep bujha dey
Paakiza tamana'eyn bhi laati hai udaasi
Har zauq-e-talab shauq-e-tammana hi mita dey
kyun nayk gumanaun ke saharaun pe jiye hain
in saare fareebaun ko suraab'aun ko hata de
Takna ya na takna to mahboob ka haq hai
na hi shoor-o-fuqaan karna to ghairaun ko gila de
De lazzat-e-deedaar ki behoshi mein woh hoosh
jo hasti ki pehchaan-o-ta'ainyun ko gavaan dey
Ek mein hun faqat tu ho aur aalam-e-hu ho
aye husn-e-azal saare hijabaat uthadey
Nasoot-o-malakoot-o-jabroot ke ehwaal
lahooti-o-ha'hooti dawail mein mila dey
Har fail sifat zaat se yun mujh ko fana kar
mujh ko na koi jaane na mujhe koi sada dey
Mein khud ko bhi khud apne sey phir dhoond'na pa'un
yun aatish-e-sozaan se meri raakh jala dey
Anwaar-o-ma'aani -o- taba'ey se juda kar
abb aalam -e- wahdaat mein gumgashta bana de
Phir kaun kisey jaane phir kaun kisey ma'ne
har ilm-o-khabar jaan-o-pehchaan mita dey
Hun tere hijabaat ki dehleez pe kab sey
ek baar zara dekhle ek parda hata dey
Hai ruh ko har lamha tere wasl ki umeed
aa zist ki shab ko to kabhi subho bana dey
Ka'ey baar bulaya tujhe ka'ey baar sataya
tu bhi to kabhi raat ko mil aur chup ke nida dey
Khud dekhle tu soya hai mein jaag raha hun
tu bhi to kabhi meri wafa'aun ka sila dey
Bas ek hi surat hai idher unki nazar ki
juz unke ke har ek yaad har ek baat bhula dey
Kyun hook si uth'ti hai dil-e-naleedah se Tahir
iss basti veraan ke khas-o-khashaak jala dey
Arfana Kalaam written by his eminence
Shaykh-ul-Islam Dr. Muhammad Tahir-ul-Qadri.
Aaqa Teri Baat Karte Karte,
Sheher Main Me Aao,
Aaqa Teri Naat Parte Parte


Help
RSS Feed










